Sher on Dosti
Friendship is a pure
and pious human experience. It helps human beings to know, and to live in good spirit with each other. The idea and experience of friendship has been treated variously by poets. Their verses have opened up many dimensions of this pious human relationship. Sometimes, friendship also turns into enmity but we do not always understand, or even know how such positive sentiments turn into negative ones. These verses would bring you a variety of perspectives on friendship and help you appreciate the multiple meanings of this relationship.
mohabbatoñ meñ dikhāve kī dostī na milā
agar gale nahīñ miltā to haath bhī na milā
mohabbaton mein dikhawe ki dosti na mila
agar gale nahin milta to hath bhi na mila
-
Tags : Ishqand 1 more
dostī jab kisī se kī jaa.e
dushmanoñ kī bhī raa.e lī jaa.e
TRANSLATION
While befriending someone,
Opinion of the foes may also be sought.
Sagar Akbarabadi
dosti jab kisi se ki jae
dushmanon ki bhi rae li jae
TRANSLATION
While befriending someone,
Opinion of the foes may also be sought.
Sagar Akbarabadi
-
Tags : Dostand 2 more
ham ko yāroñ ne yaad bhī na rakhā
'jaun' yāroñ ke yaar the ham to
hum ko yaron ne yaad bhi na rakha
'jaun' yaron ke yar the hum to
-
Tag : Dost
agar tumhārī anā hī kā hai savāl to phir
chalo maiñ haath baḌhātā huuñ dostī ke liye
agar tumhaari ana hi ka hai sawal to phir
chalo main hath baDhata hun dosti ke liye
dushmanoñ se pyaar hotā jā.egā
dostoñ ko āzmāte jā.iye
dushmanon se pyar hota jaega
doston ko aazmate jaiye
-
Tags : Dostand 1 more
ye kahāñ kī dostī hai ki bane haiñ dost nāseh
koī chārasāz hotā koī ġham-gusār hotā
ye kahan ki dosti hai ki bane hain dost naseh
koi chaarasaz hota koi gham-gusar hota
-
Tag : Dost
dostī aam hai lekin ai dost
dost miltā hai baḌī mushkil se
friendship is commonplace my dear
but friends are hard to find I fear
dosti aam hai lekin ai dost
dost milta hai baDi mushkil se
friendship is commonplace my dear
but friends are hard to find I fear
-
Tag : Dost
tujhe kaun jāntā thā mirī dostī se pahle
tirā husn kuchh nahīñ thā mirī shā.irī se pahle
tujhe kaun jaanta tha meri dosti se pahle
tera husn kuchh nahin tha meri shairi se pahle
-
Tag : Husn
bhuul shāyad bahut baḌī kar lī
dil ne duniyā se dostī kar lī
bhul shayad bahut baDi kar li
dil ne duniya se dosti kar li
mujhe dost kahne vaale zarā dostī nibhā de
ye mutālba hai haq kā koī iltijā nahīñ hai
mujhe dost kahne wale zara dosti nibha de
ye mutalba hai haq ka koi iltija nahin hai
-
Tag : Dost
dushmanoñ ne jo dushmanī kī hai
dostoñ ne bhī kyā kamī kī hai
dushmanon ne jo dushmani ki hai
doston ne bhi kya kami ki hai
-
Tags : Dostand 2 more
patthar to hazāroñ ne maare the mujhe lekin
jo dil pe lagā aa kar ik dost ne maarā hai
patthar to hazaron ne mare the mujhe lekin
jo dil pe laga aa kar ek dost ne mara hai
aql kahtī hai dobāra āzmānā jahl hai
dil ye kahtā hai fareb-e-dost khāte jā.iye
aql kahti hai dobara aazmana jahl hai
dil ye kahta hai fareb-e-dost khate jaiye
-
Tags : Dhokaand 3 more
log Darte haiñ dushmanī se tirī
ham tirī dostī se Darte haiñ
log Darte hain dushmani se teri
hum teri dosti se Darte hain
-
Tag : Dushmani
haTā.e the jo raah se dostoñ kī
vo patthar mire ghar meñ aane lage haiñ
haTae the jo rah se doston ki
wo patthar mere ghar mein aane lage hain
-
Tag : Dost
ai dost tujh ko rahm na aa.e to kyā karūñ
dushman bhī mere haal pe ab āb-dīda hai
ai dost tujh ko rahm na aae to kya karun
dushman bhi mere haal pe ab aab-dida hai
-
Tags : Aab Deedahand 3 more
ḳhudā ke vāste mauqā na de shikāyat kā
ki dostī kī tarah dushmanī nibhāyā kar
KHuda ke waste mauqa na de shikayat ka
ki dosti ki tarah dushmani nibhaya kar
-
Tag : Dushman
dostī ḳhvāb hai aur ḳhvāb kī ta.abīr bhī hai
rishta-e-ishq bhī hai yaad kī zanjīr bhī hai
dosti KHwab hai aur KHwab ki tabir bhi hai
rishta-e-ishq bhi hai yaad ki zanjir bhi hai
jo dost haiñ vo māñgte haiñ sulh kī duā
dushman ye chāhte haiñ ki aapas meñ jañg ho
jo dost hain wo mangte hain sulh ki dua
dushman ye chahte hain ki aapas mein jang ho
-
Tags : Dostand 2 more
dostī aur kisī ġharaz ke liye
vo tijārat hai dostī hī nahīñ
dosti aur kisi gharaz ke liye
wo tijarat hai dosti hi nahin
dost do-chār nikalte haiñ kahīñ lākhoñ meñ
jitne hote haiñ sivā utne hī kam hote haiñ
dost do-chaar nikalte hain kahin lakhon mein
jitne hote hain siwa utne hi kam hote hain
maiñ ab har shaḳhs se uktā chukā huuñ
faqat kuchh dost haiñ aur dost bhī kyā
main ab har shaKHs se ukta chuka hun
faqat kuchh dost hain aur dost bhi kya
-
Tag : WhatsApp
maiñ hairāñ huuñ ki kyuuñ us se huī thī dostī apnī
mujhe kaise gavāra ho ga.ī thī dushmanī apnī
main hairan hun ki kyun us se hui thi dosti apni
mujhe kaise gawara ho gai thi dushmani apni
dostī ko burā samajhte haiñ
kyā samajh hai vo kyā samajhte haiñ
dosti ko bura samajhte hain
kya samajh hai wo kya samajhte hain
dost dil rakhne ko karte haiñ bahāne kyā kyā
roz jhūTī ḳhabar-e-vasl sunā jaate haiñ
dost dil rakhne ko karte hain bahane kya kya
roz jhuTi KHabar-e-wasl suna jate hain
dushmanī ne sunā na hovegā
jo hameñ dostī ne dikhlāyā
dushmani ne suna na howega
jo hamein dosti ne dikhlaya
toḌ kar aaj ġhalat-fahmī kī dīvāroñ ko
dosto apne ta.alluq ko sañvārā jaa.e
toD kar aaj ghalat-fahmi ki diwaron ko
dosto apne talluq ko sanwara jae
sunā hai aise bhī hote haiñ log duniyā meñ
ki jin se miliye to tanhā.ī ḳhatm hotī hai
suna hai aise bhi hote hain log duniya mein
ki jin se miliye to tanhai KHatm hoti hai
dostī bandagī vafā-o-ḳhulūs
ham ye sham.a jalānā bhuul ga.e
dosti bandagi wafa-o-KHulus
hum ye shama jalana bhul gae
-
Tags : Bandagiand 1 more
fā.eda kyā soch āḳhir tū bhī daanā hai 'asad'
dostī nādāñ kī hai jī kā ziyāñ ho jā.egā
faeda kya soch aaKHir tu bhi dana hai 'asad'
dosti nadan ki hai ji ka ziyan ho jaega
dostī kī tum ne dushman se ajab tum dost ho
maiñ tumhārī dostī meñ mehrbāñ maarā gayā
dosti ki tum ne dushman se ajab tum dost ho
main tumhaari dosti mein mehrban mara gaya
-
Tag : Dushman
aa gayā 'jauhar' ajab ulTā zamāna kyā kaheñ
dost vo karte haiñ bāteñ jo adū karte nahīñ
aa gaya 'jauhar' ajab ulTa zamana kya kahen
dost wo karte hain baaten jo adu karte nahin
'shā.ir' un kī dostī kā ab bhī dam bharte haiñ aap
Thokareñ khā kar to sunte haiñ sambhal jaate haiñ log
'shair' un ki dosti ka ab bhi dam bharte hain aap
Thokaren kha kar to sunte hain sambhal jate hain log
mujhe jo dostī hai us ko dushmanī mujh se
na iḳhtiyār hai us kā na merā chārā hai
mujhe jo dosti hai us ko dushmani mujh se
na iKHtiyar hai us ka na mera chaara hai
-
Tag : Dushmani
mujhe dushman se apne ishq sā hai
maiñ tanhā aadmī kī dostī huuñ
mujhe dushman se apne ishq sa hai
main tanha aadmi ki dosti hun
jab dostī hotī hai to dostī hotī hai
aur dostī meñ koī ehsān nahīñ hotā
jab dosti hoti hai to dosti hoti hai
aur dosti mein koi ehsan nahin hota
dushman se aise kaun bhalā jiit pā.egā
jo dostī ke bhes meñ chhup kar daġhā kare
dushman se aise kaun bhala jit paega
jo dosti ke bhes mein chhup kar dagha kare
-
Tags : Dushmanand 1 more
guzre jo apne yāroñ kī sohbat meñ chaar din
aisā lagā basar hue jannat meñ chaar din
guzre jo apne yaron ki sohbat mein chaar din
aisa laga basar hue jannat mein chaar din
-
Tags : Dostand 2 more
kuchh samajh kar us mah-e-ḳhūbī se kī thī dostī
ye na samjhe the ki dushman āsmāñ ho jā.egā
kuchh samajh kar us mah-e-KHubi se ki thi dosti
ye na samjhe the ki dushman aasman ho jaega
-
Tag : Dushman
sau baar taar taar kiyā to bhī ab talak
sābit vahī hai dast o garebāñ kī dostī
sau bar tar tar kiya to bhi ab talak
sabit wahi hai dast o gareban ki dosti
zikr merā aa.egā mahfil meñ jab jab dosto
ro paḌeñge yaad kar ke yaar sab yaarī mirī
zikr mera aaega mahfil mein jab jab dosto
ro paDenge yaad kar ke yar sab yari meri
-
Tag : Dost
mirī vahshat mire sahrā meñ un ko DhūñDhtī hai
jo the do-chār chehre jaane pahchāne se pahle
meri wahshat mere sahra mein un ko DhunDhti hai
jo the do-chaar chehre jaane pahchane se pahle