dekhā hilāl-e-īd to tum yaad aa ga.e
is mahviyat meñ iid hamārī guzar ga.ī
dekha hilal-e-id to tum yaad aa gae
is mahwiyat mein id hamari guzar gai
raas aa jātīñ hameñ bhī iid kī ḳhushiyāñ tamām
kaash tū bhī paas hotā iid ke lamhāt meñ
ras aa jatin hamein bhi id ki KHushiyan tamam
kash tu bhi pas hota id ke lamhat mein
mujh ko ehsās-e-rañg-o-bū na huā
yuuñ bhī aksar bahār aa.ī hai
mujh ko ehsas-e-rang-o-bu na hua
yun bhi aksar bahaar aai hai
bahār aa.ī ki din holī ke aa.e
guloñ meñ rañg khelā jā rahā hai
bahaar aai ki din holi ke aae
gulon mein rang khela ja raha hai
-
Tags : Bahaarand 2 more
ḳhud to aayā nahīñ aur iid chalī aa.ī hai
iid ke roz mujhe yuuñ na satā.e koī
KHud to aaya nahin aur id chali aai hai
id ke roz mujhe yun na satae koi
mujh ko to iid meñ bhī farāġhat kahāñ milī
laḌtī rahī hai saas savere se shaam tak
mujh ko to id mein bhi faraghat kahan mili
laDti rahi hai sas sawere se sham tak
-
Tag : Eid
vo sub.h-e-īd kā manzar tire tasavvur meñ
vo dil meñ aa ke adā tere muskurāne kī
wo subh-e-id ka manzar tere tasawwur mein
wo dil mein aa ke ada tere muskurane ki
-
Tag : Eid
vo rañg rañg ke chhīñTe paḌe ki us ke ba.ad
kabhī na phir na.e kapḌe pahan ke niklā maiñ
wo rang rang ke chhinTe paDe ki us ke baad
kabhi na phir nae kapDe pahan ke nikla main
-
Tags : Holiand 1 more
vo kūdte uchhalte rangīn pairahan the
ma.asūm qahqahoñ meñ uḌtā gulāl dekhā
wo kudte uchhalte rangin pairahan the
masum qahqahon mein uDta gulal dekha
-
Tags : Holiand 3 more
bahut hī ḳhushkī meñ guzrī hai is baras holī
gila hai tujh se ki giilā nahīñ kiyā mujh ko
bahut hi KHushki mein guzri hai is baras holi
gila hai tujh se ki gila nahin kiya mujh ko
shab jo holī kī hai milne ko tire mukhḌe se jaan
chāñd aur taare liye phirte haiñ afshāñ haath meñ
shab jo holi ki hai milne ko tere mukhDe se jaan
chand aur tare liye phirte hain afshan hath mein
nikle haiñ ghar se dekhne ko log māh-e-īd
aur dekhte haiñ abrū-e-ḳhamdār kī taraf
nikle hain ghar se dekhne ko log mah-e-id
aur dekhte hain abru-e-KHamdar ki taraf
iid hai ham ne bhī jaanā ki na hotī gar iid
mai-farosh aaj dar-e-mai-kada kyuuñ vā kartā
id hai hum ne bhi jaana ki na hoti gar id
mai-farosh aaj dar-e-mai-kada kyun wa karta
lab-e-dariyā pe dekh aa kar tamāshā aaj holī kā
bhañvar kaale ke daf baaje hai mauj ai yaar paanī meñ
lab-e-dariya pe dekh aa kar tamasha aaj holi ka
bhanwar kale ke daf baje hai mauj ai yar pani mein
-
Tags : Holiand 1 more
kyā ḳhabar hai ham se mahjūroñ kī un ko roz-e-īd
jo gale mil kar baham sarf-e-mubārakbād haiñ
kya KHabar hai hum se mahjuron ki un ko roz-e-id
jo gale mil kar baham sarf-e-mubarakbaad hain