Sher on Eid
Eid is a day of traditional
festivity. For lovers, however, Eid has a different connotation. Meeting or even seeing the beloved is his or her Eid. There are many more interesting facets of this day. You may have a look and enjoy yourself.
eid kā chāñd tum ne dekh liyā
chāñd kī eid ho ga.ī hogī
eid ka chand tum ne dekh liya
chand ki eid ho gai hogi
eid kā din hai gale aaj to mil le zālim
rasm-e-duniyā bhī hai mauqa.a bhī hai dastūr bhī hai
eid ka din hai gale aaj to mil le zalim
rasm-e-duniya bhi hai mauqa bhi hai dastur bhi hai
-
Tags : Filmi Shayariand 1 more
tujh ko merī na mujhe terī ḳhabar jā.egī
eid ab ke bhī dabe paañv guzar jā.egī
tujh ko meri na mujhe teri KHabar jaegi
eid ab ke bhi dabe panw guzar jaegi
jis taraf tū hai udhar hoñgī sabhī kī nazreñ
iid ke chāñd kā dīdār bahāna hī sahī
jis taraf tu hai udhar hongi sabhi ki nazren
id ke chand ka didar bahana hi sahi
ham ne tujhe dekhā nahīñ kyā eid manā.eñ
jis ne tujhe dekhā ho use eid mubārak
hum ne tujhe dekha nahin kya eid manaen
jis ne tujhe dekha ho use eid mubarak
eid aa.ī tum na aa.e kyā mazā hai eid kā
eid hī to naam hai ik dūsre kī diid kā
eid aai tum na aae kya maza hai eid ka
eid hi to nam hai ek dusre ki did ka
mil ke hotī thī kabhī eid bhī dīvālī bhī
ab ye hālat hai ki Dar Dar ke gale milte haiñ
mil ke hoti thi kabhi eid bhi diwali bhi
ab ye haalat hai ki Dar Dar ke gale milte hain
falak pe chāñd sitāre nikalte haiñ har shab
sitam yahī hai nikaltā nahīñ hamārā chāñd
falak pe chand sitare nikalte hain har shab
sitam yahi hai nikalta nahin hamara chand
dekhā hilāl-e-eid to aayā terā ḳhayāl
vo āsmāñ kā chāñd hai tū merā chāñd hai
dekha hilal-e-eid to aaya tera KHayal
wo aasman ka chand hai tu mera chand hai
kahte haiñ eid hai aaj apnī bhī eid hotī
ham ko agar mayassar jānāñ kī diid hotī
kahte hain eid hai aaj apni bhi eid hoti
hum ko agar mayassar jaanan ki did hoti
-
Tag : Deedar
ai havā tū hī use eid-mubārak kahiyo
aur kahiyo ki koī yaad kiyā kartā hai
ai hawa tu hi use eid-mubarak kahiyo
aur kahiyo ki koi yaad kiya karta hai
us se milnā to use eid-mubārak kahnā
ye bhī kahnā ki mirī eid mubārak kar de
us se milna to use eid-mubarak kahna
ye bhi kahna ki meri eid mubarak kar de
jo log guzarte haiñ musalsal rah-e-dil se
din eid kā un ko ho mubārak tah-e-dil se
jo log guzarte hain musalsal rah-e-dil se
din eid ka un ko ho mubarak tah-e-dil se
eid kā din hai so kamre meñ paḌā huuñ 'aslam'
apne darvāze ko bāhar se muqaffal kar ke
eid ka din hai so kamre mein paDa hun 'aslam'
apne darwaze ko bahar se muqaffal kar ke
-
Tags : Muflisiand 1 more
eid ab ke bhī ga.ī yūñhī kisī ne na kahā
ki tire yaar ko ham tujh se milā dete haiñ
eid ab ke bhi gai yunhi kisi ne na kaha
ki tere yar ko hum tujh se mila dete hain
māh-e-nau dekhne tum chhat pe na jaanā hargiz
shahr meñ eid kī tārīḳh badal jā.egī
mah-e-nau dekhne tum chhat pe na jaana hargiz
shahr mein eid ki tariKH badal jaegi
iid ke ba.ad vo milne ke liye aa.e haiñ
iid kā chāñd nazar aane lagā iid ke ba.ad
id ke baad wo milne ke liye aae hain
id ka chand nazar aane laga id ke baad
us mehrbāñ nazar kī ināyat kā shukriya
tohfa diyā hai eid pe ham ko judā.ī kā
us mehrban nazar ki inayat ka shukriya
tohfa diya hai eid pe hum ko judai ka
va.adoñ hī pe har roz mirī jaan na Taalo
hai eid kā din ab to gale ham ko lagā lo
wadon hi pe har roz meri jaan na Talo
hai eid ka din ab to gale hum ko laga lo
shahr ḳhālī hai kise eid mubārak kahiye
chal diye chhoḌ ke makka bhī madīna vaale
shahr KHali hai kise eid mubarak kahiye
chal diye chhoD ke makka bhi madina wale
eid tū aa ke mire jī ko jalāve afsos
jis ke aane kī ḳhushī ho vo na aave afsos
eid tu aa ke mere ji ko jalawe afsos
jis ke aane ki KHushi ho wo na aawe afsos
aaj yāroñ ko mubārak ho ki sub.h-e-eid hai
raag hai mai hai chaman hai dilrubā hai diid hai
aaj yaron ko mubarak ho ki subh-e-eid hai
rag hai mai hai chaman hai dilruba hai did hai
dekhā hilāl-e-īd to tum yaad aa ga.e
is mahviyat meñ iid hamārī guzar ga.ī
dekha hilal-e-id to tum yaad aa gae
is mahwiyat mein id hamari guzar gai
hai eid kā din aaj to lag jaao gale se
jaate ho kahāñ jaan mirī aa ke muqābil
hai eid ka din aaj to lag jao gale se
jate ho kahan jaan meri aa ke muqabil
iid kā din to hai magar 'ja.afar'
maiñ akele to hañs nahīñ saktā
id ka din to hai magar 'jafar'
main akele to hans nahin sakta
hāsil us mah-laqā kī diid nahīñ
eid hai aur ham ko eid nahīñ
hasil us mah-laqa ki did nahin
eid hai aur hum ko eid nahin
-
Tag : Deedar
eid kā chāñd jo dekhā to tamannā lipTī
un se taqrīb-e-mulāqāt kā rishta niklā
eid ka chand jo dekha to tamanna lipTi
un se taqrib-e-mulaqat ka rishta nikla
tū aa.e to mujh ko bhī
iid kā chāñd dikhā.ī de
tu aae to mujh ko bhi
id ka chand dikhai de
mahak uThī hai fazā pairahan kī ḳhushbū se
chaman diloñ kā khilāne ko eid aa.ī hai
mahak uThi hai faza pairahan ki KHushbu se
chaman dilon ka khilane ko eid aai hai
aa.ī eid va dil meñ nahīñ kuchh havā-e-eid
ai kaash mere paas tū aatā bajā.e eid
aai eid wa dil mein nahin kuchh hawa-e-eid
ai kash mere pas tu aata bajae eid
abrū kā ishāra kiyā tum ne to huī iid
ai jaan yahī hai mah-e-shavval hamārā
abru ka ishaara kiya tum ne to hui id
ai jaan yahi hai mah-e-shawwal hamara
iid kā din hai gale mil liije
iḳhtilāfāt haTā kar rakhiye
id ka din hai gale mil lije
iKHtilafat haTa kar rakhiye
kisī kī yaad manāne meñ iid guzregī
so shahr-e-dil meñ bahut duur tak udāsī hai
kisi ki yaad manane mein id guzregi
so shahr-e-dil mein bahut dur tak udasi hai
raas aa jātīñ hameñ bhī iid kī ḳhushiyāñ tamām
kaash tū bhī paas hotā iid ke lamhāt meñ
ras aa jatin hamein bhi id ki KHushiyan tamam
kash tu bhi pas hota id ke lamhat mein
iid meñ iid huī aish kā sāmāñ dekhā
dekh kar chāñd jo muñh aap kā ai jaañ dekhā
id mein id hui aish ka saman dekha
dekh kar chand jo munh aap ka ai jaan dekha
eid ko bhī vo nahīñ milte haiñ mujh se na mileñ
ik baras din kī mulāqāt hai ye bhī na sahī
eid ko bhi wo nahin milte hain mujh se na milen
ek baras din ki mulaqat hai ye bhi na sahi
vahāñ iid kyā vahāñ diid kyā
jahāñ chāñd raat na aa.ī ho
wahan id kya wahan did kya
jahan chand raat na aai ho
hai eid mai-kade ko chalo dekhtā hai kaun
shahd o shakar pe TuuT paḌe roza-dār aaj
hai eid mai-kade ko chalo dekhta hai kaun
shahd o shakar pe TuT paDe roza-dar aaj
jahāñ na apne azīzoñ kī diid hotī hai
zamīn-e-hijr pe bhī koī iid hotī hai
jahan na apne azizon ki did hoti hai
zamin-e-hijr pe bhi koi id hoti hai
ka.ī fāqoñ meñ eid aa.ī hai
aaj tū ho to jaan ham-āġhosh
kai faqon mein eid aai hai
aaj tu ho to jaan ham-aghosh
agar hayāt hai dekheñge ek din dīdār
ki māh-e-eid bhī āḳhir hai in mahīnoñ meñ
agar hayat hai dekhenge ek din didar
ki mah-e-eid bhi aaKHir hai in mahinon mein
jab aayā iid kā din ghar meñ bebasī kī tarah
to mere phuul se bachchoñ ne mujh ko gher liyā
jab aaya id ka din ghar mein bebasi ki tarah
to mere phul se bachchon ne mujh ko gher liya
-
Tag : Muflisi
ḳhud to aayā nahīñ aur iid chalī aa.ī hai
iid ke roz mujhe yuuñ na satā.e koī
KHud to aaya nahin aur id chali aai hai
id ke roz mujhe yun na satae koi
iid par masrūr haiñ donoñ miyāñ biivī bahut
ik ḳharīdārī se pahle ik ḳharīdārī ke ba.ad
id par masrur hain donon miyan biwi bahut
ek KHaridari se pahle ek KHaridari ke baad
chhup gayā eid kā chāñd nikal kar der huī par jaane kyoñ
nazreñ ab tak Tikī huī haiñ masjid ke mīnāroñ par
chhup gaya eid ka chand nikal kar der hui par jaane kyon
nazren ab tak Tiki hui hain masjid ke minaron par
-
Tag : Chaand
shaam ke saa.e bālishtoñ se naape haiñ
chāñd ne kitnī der lagā dī aane meñ
sham ke sae baalishton se nape hain
chand ne kitni der laga di aane mein
-
Tag : Chaand
kyā lutf-e-īd hai jo agar tum se duur hoñ
guzregā roz-e-īd tasavvur meñ aap ke
kya lutf-e-id hai jo agar tum se dur hon
guzrega roz-e-id tasawwur mein aap ke
mujh ko to iid meñ bhī farāġhat kahāñ milī
laḌtī rahī hai saas savere se shaam tak
mujh ko to id mein bhi faraghat kahan mili
laDti rahi hai sas sawere se sham tak
-
Tag : Festival
vo sub.h-e-īd kā manzar tire tasavvur meñ
vo dil meñ aa ke adā tere muskurāne kī
wo subh-e-id ka manzar tere tasawwur mein
wo dil mein aa ke ada tere muskurane ki
-
Tag : Festival