Sher on Birthday
Birthday is a day that
most of us like to celebrate. This day comes once in a year and brings many memories, opens up many future prospects, and also brings us closer to death with each passing year. There are many more aspects of this day with which we are not so well acquainted. Some of the verses open up those aspects for you.
maañ kī duā na baap kī shafqat kā saayā hai
aaj apne saath apnā janam din manāyā hai
man ki dua na bap ki shafqat ka saya hai
aaj apne sath apna janam din manaya hai
tum salāmat raho hazār baras
har baras ke hoñ din pachās hazār
tum salamat raho hazar baras
har baras ke hon din pachas hazar
kuchh ḳhushiyāñ kuchh aañsū de kar Taal gayā
jīvan kā ik aur sunahrā saal gayā
kuchh KHushiyan kuchh aansu de kar Tal gaya
jiwan ka ek aur sunahra sal gaya
ye to ik rasm-e-jahāñ hai jo adā hotī hai
varna sūraj kī kahāñ sālgirah hotī hai
ye to ek rasm-e-jahan hai jo ada hoti hai
warna suraj ki kahan salgirah hoti hai
hasīn chehre kī tābindagī mubārak ho
tujhe ye sāl-girah kī ḳhushī mubārak ho
hasin chehre ki tabindagi mubarak ho
tujhe ye sal-girah ki KHushi mubarak ho
yahī vo din the jab ik dūsre ko paayā thā
hamārī sāl-girah Thiik ab ke maah meñ hai
yahi wo din the jab ek dusre ko paya tha
hamari sal-girah Thik ab ke mah mein hai
maiñ takiye par sitāre bo rahā huuñ
janam-din hai akelā ro rahā huuñ
main takiye par sitare bo raha hun
janam-din hai akela ro raha hun
hamārā zinda rahnā aur marnā ek jaisā hai
ham apne yaum-e-paidā.ish ko bhī barsī samajhte haiñ
hamara zinda rahna aur marna ek jaisa hai
hum apne yaum-e-paidaish ko bhi barsi samajhte hain
ḳhudā kare na Dhale dhuup tere chehre kī
tamām umr tirī zindagī kī shaam na ho
KHuda kare na Dhale dhup tere chehre ki
tamam umr teri zindagi ki sham na ho
ye be-ḳhudī ye laboñ kī hañsī mubārak ho
tumheñ ye sālgirah kī ḳhushī mubārak ho
ye be-KHudi ye labon ki hansi mubarak ho
tumhein ye salgirah ki KHushi mubarak ho
tum salāmat raho qayāmat tak
aur qayāmat kabhī na aa.e 'shād'
tum salamat raho qayamat tak
aur qayamat kabhi na aae 'shad'
ek baras aur biit gayā
kab tak ḳhaak uḌānī hai
ek baras aur bit gaya
kab tak KHak uDani hai
-
Tag : New Year
sālgirah par kitnī nek tamannā.eñ mausūl huiiñ
lekin in meñ ek mubārakbād abhī tak baaqī hai
salgirah par kitni nek tamannaen mausul huin
lekin in mein ek mubarakbaad abhi tak baqi hai
ḳhudā kare ki ye din baar baar aatā rahe
aur apne saath ḳhushī kā ḳhazāna laatā rahe
KHuda kare ki ye din bar bar aata rahe
aur apne sath KHushi ka KHazana lata rahe
zindagī bhar ye āsmāñ tujh ko
kisī aafat meñ mubtalā na kare
zindagi bhar ye aasman tujh ko
kisi aafat mein mubtala na kare
hamārī zindagī par maut bhī hairān hai 'ġhā.er'
na jaane kis ne ye tārīḳh-e-paidā.ish nikālī hai
hamari zindagi par maut bhi hairan hai 'ghaer'
na jaane kis ne ye tariKH-e-paidaish nikali hai
ḳhizāñ kī rut hai janam-din hai aur dhuāñ aur phuul
havā bikher ga.ī mom-battiyāñ aur phuul
KHizan ki rut hai janam-din hai aur dhuan aur phul
hawa bikher gai mom-battiyan aur phul
ghirā huā huuñ janam-din se is ta.āqub meñ
zamīn aage hai aur āsmāñ mire pīchhe
ghira hua hun janam-din se is taaqub mein
zamin aage hai aur aasman mere pichhe
jā.egī gulshan talak us gul kī aamad kī ḳhabar
aa.egī bulbul mire ghar meñ mubārakbād ko
jaegi gulshan talak us gul ki aamad ki KHabar
aaegi bulbul mere ghar mein mubarakbaad ko
kyā isī bhuul ko kahte haiñ mohabbat kā zavāl
ab mujhe yaad nahīñ sālgirah bhī terī
kya isi bhul ko kahte hain mohabbat ka zawal
ab mujhe yaad nahin salgirah bhi teri
hamārī zindagī par maut bhī hairān hai ġhā.er
na jaane kis ne ye tārīḳh-e-paidā.ish nikālī hai
hamari zindagi par maut bhi hairan hai ghaer
na jaane kis ne ye tariKH-e-paidaish nikali hai