aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1963 | Faisalabad, Pakistan
Prominent contemporary pakistani poet known for high seriousness of his poetic content.
maañ kī duā na baap kī shafqat kā saayā hai
aaj apne saath apnā janam din manāyā hai
man ki dua na bap ki shafqat ka saya hai
aaj apne sath apna janam din manaya hai
saath bārish meñ liye phirte ho us ko 'anjum'
tum ne is shahr meñ kyā aag lagānī hai koī
sath barish mein liye phirte ho us ko 'anjum'
tum ne is shahr mein kya aag lagani hai koi
tum akele meñ mile hī nahīñ varna tum ko
aur hī tarah ke ik shaḳhs se milvātā maiñ
tum akele mein mile hi nahin warna tum ko
aur hi tarah ke ek shaKHs se milwata main
itnā be-tāb na ho mujh se bichhaḌne ke liye
tujh ko ā.ankhoñ se nahīñ dil se judā karnā hai
itna be-tab na ho mujh se bichhaDne ke liye
tujh ko aaankhon se nahin dil se juda karna hai
raushnī bhī nahīñ havā bhī nahīñ
maañ kā nemul-badal ḳhudā bhī nahīñ
raushni bhi nahin hawa bhi nahin
man ka nemul-badal KHuda bhi nahin
Chalo Main Haar Jata Hun
1999
Nirman
1994
Shabree
2002
ek ta.abiir kii suurat nazar aa.ii hai idhar so uThaa laayaa huu.n sab KHvaab puraane vaale
tujh se ye kaisaa ta'alluq hai jise jab chaahuu.n KHatm kar detaa huu.n aaGaaz bhii kar letaa huu.n
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books