Mohammad Izhar ul Haq
Ghazal 24
Nazm 6
Sher-o-Shayari 4
ghirā huā huuñ janam-din se is ta.āqub meñ
zamīn aage hai aur āsmāñ mire pīchhe
ghira hua hun janam-din se is taaqub mein
zamin aage hai aur aasman mere pichhe
-
Share this
- See Ghazal
añdherī shaam thī bādal baras na paa.e the
vo mere paas na thā aur maiñ khul ke royā thā
andheri sham thi baadal baras na pae the
wo mere pas na tha aur main khul ke roya tha
-
Share this
- See Ghazal
tirā paañv shaam pe aa gayā thā ki chāñd thā
tirā hijr sub.h ko jal uThā thā ki phuul thā
tera panw sham pe aa gaya tha ki chand tha
tera hijr subh ko jal uTha tha ki phul tha
-
Share this
- See Ghazal
koī zaarī sunī nahīñ jaatī koī jurm muaaf nahīñ hotā
is dhartī par is chhat ke tale koī tere ḳhilāf nahīñ hotā
koi zari suni nahin jati koi jurm muaf nahin hota
is dharti par is chhat ke tale koi tere KHilaf nahin hota
-
Share this
- See Ghazal