na thī haal kī jab hameñ apne ḳhabar rahe dekhte auroñ ke aib o hunar
paḌī apnī burā.iyoñ par jo nazar to nigāh meñ koī burā na rahā
while unknowing of myself, in others faults did often see
when my own shortcomings saw, found no one else as bad as me
na thi haal ki jab hamein apne KHabar rahe dekhte auron ke aib o hunar
paDi apni buraiyon par jo nazar to nigah mein koi bura na raha
while unknowing of myself, in others faults did often see
when my own shortcomings saw, found no one else as bad as me
-
Tags : Hunarand 1 more
shart salīqa hai har ik amr meñ
aib bhī karne ko hunar chāhiye
shart saliqa hai har ek amr mein
aib bhi karne ko hunar chahiye
hamāre aib ne be-aib kar diyā ham ko
yahī hunar hai ki koī hunar nahīñ aatā
hamare aib ne be-aib kar diya hum ko
yahi hunar hai ki koi hunar nahin aata
-
Tag : Hunar
husn ye hai ki dilrubā ho tum
aib ye hai ki bevafā ho tum
husn ye hai ki dilruba ho tum
aib ye hai ki bewafa ho tum
sab kī tarah tū ne bhī mire aib nikāle
tū ne bhī ḳhudāyā mirī niyyat nahīñ dekhī
sab ki tarah tu ne bhi mere aib nikale
tu ne bhi KHudaya meri niyyat nahin dekhi
ḳhush-nasībī meñ hai yahī ik aib
bad-nasīboñ ke ghar nahīñ aatī
KHush-nasibi mein hai yahi ek aib
bad-nasibon ke ghar nahin aati
dost har aib chhupā lete haiñ
koī dushman bhī tirā hai ki nahīñ
dost har aib chhupa lete hain
koi dushman bhi tera hai ki nahin
-
Tags : Dostand 2 more
maiñ us ke aib us ko batātā bhī kis tarah
vo shaḳhs aaj tak mujhe tanhā nahīñ milā
main us ke aib us ko batata bhi kis tarah
wo shaKHs aaj tak mujhe tanha nahin mila
ham ko aapas meñ mohabbat nahīñ karne dete
ik yahī aib hai is shahr ke dānāoñ meñ
hum ko aapas mein mohabbat nahin karne dete
ek yahi aib hai is shahr ke danaon mein
-
Tags : Communal harmonyand 1 more
kisī ke aib chhupānā savāb hai lekin
kabhī kabhī koī parda uThānā paḌtā hai
kisi ke aib chhupana sawab hai lekin
kabhi kabhi koi parda uThana paDta hai
ik din vo mere aib gināne lagā 'farāġh'
jab ḳhud hī thak gayā to mujhe sochnā paḌā
ek din wo mere aib ginane laga 'faragh'
jab KHud hi thak gaya to mujhe sochna paDa
sach hai is ek parde meñ chhupte haiñ laakh aib
ya.anī janāb-e-shaiḳh kī dāḌhī darāz hai
sach hai is ek parde mein chhupte hain lakh aib
yani janab-e-shaiKH ki daDhi daraaz hai
hamāre aib meñ jis se madad mile ham ko
hameñ hai aaj kal aise kisī hunar kī talāsh
hamare aib mein jis se madad mile hum ko
hamein hai aaj kal aise kisi hunar ki talash
tesha-ba-kaf ko ā.ina-gar kah diyā gayā
jo aib thā use bhī hunar kah diyā gayā
tesha-ba-kaf ko aaina-gar kah diya gaya
jo aib tha use bhi hunar kah diya gaya
-
Tag : Hunar
'qā.em' maiñ iḳhtiyār kiyā shā.irī kā aib
pahuñchā na koī shaḳhs jab apne hunar talak
'qaem' main iKHtiyar kiya shairi ka aib
pahuncha na koi shaKHs jab apne hunar talak