Sher on Hunar
Human beings can be
distinguished on account of the skills they have. Everyone has one skill or the other which may be perfected with care and practice. This ultimately becomes the hallmark of one’s personality. Here are some verses that would help you see human skill, art, and craftsmanship in multiple ways.
na thī haal kī jab hameñ apne ḳhabar rahe dekhte auroñ ke aib o hunar
paḌī apnī burā.iyoñ par jo nazar to nigāh meñ koī burā na rahā
while unknowing of myself, in others faults did often see
when my own shortcomings saw, found no one else as bad as me
na thi haal ki jab hamein apne KHabar rahe dekhte auron ke aib o hunar
paDi apni buraiyon par jo nazar to nigah mein koi bura na raha
while unknowing of myself, in others faults did often see
when my own shortcomings saw, found no one else as bad as me
-
Tags : Aiband 1 more
shart salīqa hai har ik amr meñ
aib bhī karne ko hunar chāhiye
shart saliqa hai har ek amr mein
aib bhi karne ko hunar chahiye
hamāre aib ne be-aib kar diyā ham ko
yahī hunar hai ki koī hunar nahīñ aatā
hamare aib ne be-aib kar diya hum ko
yahi hunar hai ki koi hunar nahin aata
-
Tag : Aib
vo sāf-go hai magar baat kā hunar sīkhe
badan hasīñ hai to kyā be-libās aa.egā
wo saf-go hai magar baat ka hunar sikhe
badan hasin hai to kya be-libas aaega
-
Tag : Badan
hamāre aib meñ jis se madad mile ham ko
hameñ hai aaj kal aise kisī hunar kī talāsh
hamare aib mein jis se madad mile hum ko
hamein hai aaj kal aise kisi hunar ki talash
mujh meñ the jitne aib vo mere qalam ne likh diye
mujh meñ thā jitnā husn vo mere hunar meñ gum huā
mujh mein the jitne aib wo mere qalam ne likh diye
mujh mein tha jitna husn wo mere hunar mein gum hua
jis kī ḳhātir maiñ bhulā baiThā thā apne aap ko
ab usī ke bhuul jaane kā hunar bhī dekhnā
jis ki KHatir main bhula baiTha tha apne aap ko
ab usi ke bhul jaane ka hunar bhi dekhna
tesha-ba-kaf ko ā.ina-gar kah diyā gayā
jo aib thā use bhī hunar kah diyā gayā
tesha-ba-kaf ko aaina-gar kah diya gaya
jo aib tha use bhi hunar kah diya gaya
-
Tag : Aib
'qā.em' maiñ iḳhtiyār kiyā shā.irī kā aib
pahuñchā na koī shaḳhs jab apne hunar talak
'qaem' main iKHtiyar kiya shairi ka aib
pahuncha na koi shaKHs jab apne hunar talak
ḳhūbān-e-jahāñ hoñ jis se tasḳhīr
aisā koī ham ne hunar na dekhā
KHuban-e-jahan hon jis se tasKHir
aisa koi hum ne hunar na dekha