Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shad Azimabadi's Photo'

Shad Azimabadi

1846 - 1927 | Patna, India

One of the most prominent pre-modern poets.

One of the most prominent pre-modern poets.

Sher of Shad Azimabadi

16.6K
Favorite

SORT BY

ḳhamoshī se musībat aur bhī sañgīn hotī hai

taḌap ai dil taḌapne se zarā taskīn hotī hai

silence only intensifies one's grief

cry out heart and you will find relief

KHamoshi se musibat aur bhi sangin hoti hai

taDap ai dil taDapne se zara taskin hoti hai

silence only intensifies one's grief

cry out heart and you will find relief

ab bhī ik umr pe jiine na andāz aayā

zindagī chhoḌ de pīchhā mirā maiñ baaz aayā

ab bhi ek umr pe jine ka na andaz aaya

zindagi chhoD de pichha mera main baz aaya

dil-e-muztar se pūchh ai raunaq-e-bazm

maiñ ḳhud aayā nahīñ laayā gayā huuñ

dil-e-muztar se puchh ai raunaq-e-bazm

main KHud aaya nahin laya gaya hun

tamannāoñ meñ uljhāyā gayā huuñ

khilaune de ke bahlāyā gayā huuñ

tamannaon mein uljhaya gaya hun

khilaune de ke bahlaya gaya hun

sun chuke jab haal merā le ke añgḌā.ī kahā

kis ġhazab dard zālim tere afsāne meñ thā

sun chuke jab haal mera le ke angDai kaha

kis ghazab ka dard zalim tere afsane mein tha

jaise mirī nigāh ne dekhā na ho kabhī

mahsūs ye huā tujhe har baar dekh kar

jaise meri nigah ne dekha na ho kabhi

mahsus ye hua tujhe har bar dekh kar

kaun baat na.ī ai dil-e-nākām huī

shaam se sub.h huī sub.h se phir shaam huī

o luckless heart what was new today you tell me pray

day first turned into night, then night turned into day

kaun si baat nai ai dil-e-nakaam hui

sham se subh hui subh se phir sham hui

o luckless heart what was new today you tell me pray

day first turned into night, then night turned into day

ye bazm-e-mai hai yaañ kotāh-dastī meñ hai mahrūmī

jo baḌh kar ḳhud uThā le haath meñ miinā usī hai

ye bazm-e-mai hai yan kotah-dasti mein hai mahrumi

jo baDh kar KHud uTha le hath mein mina usi ka hai

DhūñDoge agar mulkoñ mulkoñ milne ke nahīñ nāyāb haiñ ham

jo yaad na aa.e bhuul ke phir ai ham-nafaso vo ḳhvāb haiñ ham

DhunDoge agar mulkon mulkon milne ke nahin nayab hain hum

jo yaad na aae bhul ke phir ai ham-nafaso wo KHwab hain hum

maiñ 'shād' tanhā ik taraf aur duniyā duniyā ik taraf

saarā samundar ik taraf aañsū qatra ik taraf

main 'shad' tanha ek taraf aur duniya ki duniya ek taraf

sara samundar ek taraf aansu ka qatra ek taraf

parvānoñ to hashr jo honā thā ho chukā

guzrī hai raat sham.a pe kyā dekhte chaleñ

parwanon ka to hashr jo hona tha ho chuka

guzri hai raat shama pe kya dekhte chalen

huuñ is kūche ke har zarre se āgāh

idhar se muddatoñ aayā gayā huuñ

hun is kuche ke har zarre se aagah

idhar se muddaton aaya gaya hun

iz.hār-e-mudda.ā irāda thā aaj kuchh

tevar tumhāre dekh ke ḳhāmosh ho gayā

thoughI had intended my feelings to convey

seeing your disposition, I did not dare to say

izhaar-e-muddaa ka irada tha aaj kuchh

tewar tumhaare dekh ke KHamosh ho gaya

thoughI had intended my feelings to convey

seeing your disposition, I did not dare to say

hazār shukr maiñ tere sivā kisī nahīñ

hazār haif ki ab tak huā na merā

hazar shukr main tere siwa kisi ka nahin

hazar haif ki ab tak hua na tu mera

kahāñ se lā.ūñ sabr-e-hazrat-e-ayyūb ai saaqī

ḳhum aa.egā surāhī aa.egī tab jaam aa.egā

kahan se laun sabr-e-hazrat-e-ayyub ai saqi

KHum aaega surahi aaegi tab jam aaega

dil apnī talab meñ sādiq thā ghabrā ke sū-e-matlūb gayā

dariyā se ye motī niklā thā dariyā meñ kar Duub gayā

dil apni talab mein sadiq tha ghabra ke su-e-matlub gaya

dariya se ye moti nikla tha dariya hi mein ja kar Dub gaya

iid meñ iid huī aish sāmāñ dekhā

dekh kar chāñd jo muñh aap ai jaañ dekhā

id mein id hui aish ka saman dekha

dekh kar chand jo munh aap ka ai jaan dekha

tirā āstāñ jo na mil sakā tirī rahguzar zamīñ sahī

hameñ sajda karne se kaam hai jo vahāñ nahīñ to kahīñ sahī

tera aastan jo na mil saka teri rahguzar ki zamin sahi

hamein sajda karne se kaam hai jo wahan nahin to kahin sahi

dekhne vaale ko tere dekhne aate haiñ log

jo kashish tujh meñ thī ab vo tere dīvāne meñ hai

dekhne wale ko tere dekhne aate hain log

jo kashish tujh mein thi ab wo tere diwane mein hai

lahad meñ kyuuñ na jā.ūñ muñh chhupā.e

bharī mahfil se uThvāyā gayā huuñ

why should I not be interred with a covered face

I have been cast from her presence in such disgrace

lahad mein kyun na jaun munh chhupae

bhari mahfil se uThwaya gaya hun

why should I not be interred with a covered face

I have been cast from her presence in such disgrace

jab kisī ne haal pūchā ro diyā

chashm-e-tar ne to mujh ko kho diyā

jab kisi ne haal pucha ro diya

chashm-e-tar tu ne to mujh ko kho diya

ġhunchoñ ke muskurāne pe kahte haiñ hañs ke phuul

apnā karo ḳhayāl hamārī to kaT ga.ī

ghunchon ke muskurane pe kahte hain hans ke phul

apna karo KHayal hamari to kaT gai

maiñ hairat o hasrat maarā ḳhāmosh khaḌā huuñ sāhil par

dariyā-e-mohabbat kahtā hai aa kuchh bhī nahīñ pāyāb haiñ ham

main hairat o hasrat ka mara KHamosh khaDa hun sahil par

dariya-e-mohabbat kahta hai aa kuchh bhi nahin payab hain hum

tere bīmār-e-mohabbat ye hālat pahuñchī

ki haTāyā gayā takiya bhī sirhāne vaalā

tere bimar-e-mohabbat ki ye haalat pahunchi

ki haTaya gaya takiya bhi sirhane wala

nigāh-e-nāz se saaqī dekhnā mujh ko

mirā vo haath meñ sāġhar uThā ke rah jaanā

nigah-e-naz se saqi ka dekhna mujh ko

mera wo hath mein saghar uTha ke rah jaana

ek sitam aur laakh adā.eñ uf javānī haa.e zamāne

tirchhī nigāheñ tañg qabā.eñ uf javānī haa.e zamāne

ek sitam aur lakh adaen uf ri jawani hae zamane

tirchhi nigahen tang qabaen uf ri jawani hae zamane

bhare hoñ aañkh meñ aañsū ḳhamīda gardan ho

to ḳhāmushī ko bhī iz.hār-e-mudda.ā kahiye

bhare hon aankh mein aansu KHamida gardan ho

to KHamushi ko bhi izhaar-e-muddaa kahiye

jiite ham to ġham-e-fardā dhun meñ mar ga.e

kuchh vahī achchhe haiñ jo vāqif nahīñ anjām se

jite ji hum to gham-e-farda ki dhun mein mar gae

kuchh wahi achchhe hain jo waqif nahin anjam se

milegā ġhair bhī un ke gale ba-shauq ai dil

halāl karne mujhe iid hilāl aayā

milega ghair bhi un ke gale ba-shauq ai dil

halal karne mujhe id ka hilal aaya

ḳhāroñ se ye kah do ki gul-e-tar se na uljheñ

sīkhe koī andāz-e-sharīfāna hamārā

KHaron se ye kah do ki gul-e-tar se na uljhen

sikhe koi andaz-e-sharifana hamara

jo tañg aa kar kisī din dil pe ham kuchh Thaan lete haiñ

sitam dekho ki vo bhī chhūTte pahchān lete haiñ

jo tang aa kar kisi din dil pe hum kuchh Than lete hain

sitam dekho ki wo bhi chhuTte pahchan lete hain

nazar barchhiyāñ jo sah sake siinā usī hai

hamārā aap jiinā nahīñ jiinā usī hai

nazar ki barchhiyan jo sah sake sina usi ka hai

hamara aap ka jina nahin jina usi ka hai

nāzuk thā bahut kuchh dil merā ai 'shād' tahammul ho na sakā

ik Thes lagī thī yuuñ kiyā jald ye shīsha TuuT gayā

nazuk tha bahut kuchh dil mera ai 'shad' tahammul ho na saka

ek Thes lagi thi yun hi si kiya jald ye shisha TuT gaya

talab kareñ bhī to kyā shai talab kareñ ai 'shād'

hameñ to aap nahīñ apnā mudda.ā ma.alūm

talab karen bhi to kya shai talab karen ai 'shad'

hamein to aap nahin apna muddaa malum

kahte haiñ ahl-e-hosh jab afsāna aap

hañstā hai dekh dekh ke dīvāna aap

kahte hain ahl-e-hosh jab afsana aap ka

hansta hai dekh dekh ke diwana aap ka

taskīn to hotī thī taskīn na hone se

ronā bhī nahīñ aatā har vaqt ke rone se

taskin to hoti thi taskin na hone se

rona bhi nahin aata har waqt ke rone se

shab ko mirī chashm-e-hasrat sab dard-e-dil un se kah jaanā

dāñtoñ meñ dabā kar hoñT apnā kuchh soch ke us rah jaanā

shab ko meri chashm-e-hasrat ka sab dard-e-dil un se kah jaana

danton mein daba kar honT apna kuchh soch ke us ka rah jaana

ajal bhī Tal ga.ī dekhī ga.ī hālat na āñkhoñ se

shab-e-ġham meñ musībat musībat ham ne jhelī hai

ajal bhi Tal gai dekhi gai haalat na aankhon se

shab-e-gham mein musibat si musibat hum ne jheli hai

chaman meñ ke ham ne ġhaur se aurāq-e-gul dekhe

tumhāre husn sharheñ likhī haiñ in risāloñ meñ

chaman mein ja ke hum ne ghaur se auraq-e-gul dekhe

tumhaare husn ki sharhen likhi hain in risalon mein

sunī hikāyat-e-hastī to darmiyāñ se sunī

na ibtidā ḳhabar hai na intihā mā'lūm

suni hikayat-e-hasti to darmiyan se suni

na ibtida ki KHabar hai na intiha ma'lum

ai shauq patā kuchh batā ab tak ye karishma kuchh na khulā

ham meñ hai dil-e-betāb nihāñ aap dil-e-betāb haiñ ham

ai shauq pata kuchh tu hi bata ab tak ye karishma kuchh na khula

hum mein hai dil-e-betab nihan ya aap dil-e-betab hain hum

kuchh aisā kar ki ḳhuld ābād tak ai 'shād' pahuñcheñ

abhī tak raah meñ vo kar rahe haiñ intizār apnā

kuchh aisa kar ki KHuld aabaad tak ai 'shad' ja pahunchen

abhi tak rah mein wo kar rahe hain intizar apna

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now