Sher on Angdaai
Stretching of limbs
is a normal human act. It acquires many more postures in poetry, especially Urdu poetry that associates stretching of limbs with the enticing beloved. It adds beauty to her gesture and posture and makes her more romantic, sometimes even tantalizing. You would like this selection on its visual representation by the poets.
añgḌā.ī bhī vo lene na paa.e uThā ke haath
dekhā jo mujh ko chhoḌ diye muskurā ke haath
she couldn't even stretch out with her arms upraised
seeing me she smiled and composed herself all fazed
angDai bhi wo lene na pae uTha ke hath
dekha jo mujh ko chhoD diye muskura ke hath
she couldn't even stretch out with her arms upraised
seeing me she smiled and composed herself all fazed
-
Tags : Famous shayariand 2 more
ab bhī barsāt kī rātoñ meñ badan TūTtā hai
jaag uThtī haiñ ajab ḳhvāhisheñ añgḌā.ī kī
Till even now in rainy climes, my limbs are aching, sore
The yen to stretch out languidly then comes to the fore
ab bhi barsat ki raaton mein badan TuTta hai
jag uThti hain ajab KHwahishen angDai ki
Till even now in rainy climes, my limbs are aching, sore
The yen to stretch out languidly then comes to the fore
ab to us ke baare meñ tum jo chāho vo kah Daalo
vo añgḌā.ī mere kamre tak to baḌī rūhānī thī
ab to us ke bare mein tum jo chaho wo kah Dalo
wo angDai mere kamre tak to baDi ruhani thi
ilāhī kyā ilāqa hai vo jab letā hai añgḌā.ī
mire siine meñ sab zaḳhmoñ ke Tāñke TuuT jaate haiñ
ilahi kya ilaqa hai wo jab leta hai angDai
mere sine mein sab zaKHmon ke Tanke TuT jate hain
-
Tag : Famous shayari
tum phir usī adā se añgḌā.ī le ke hañs do
aa jā.egā palaT kar guzrā huā zamāna
tum phir usi ada se angDai le ke hans do
aa jaega palaT kar guzra hua zamana
donoñ hāthoñ se lūTtī hai hameñ
kitnī zālim hai terī añgḌā.ī
donon hathon se luTti hai hamein
kitni zalim hai teri angDai
kaun añgḌā.ī le rahā hai 'adam'
do jahāñ laḌkhaḌā.e jaate haiñ
kaun angDai le raha hai 'adam'
do jahan laDkhaDae jate hain
-
Tag : Famous shayari
sun chuke jab haal merā le ke añgḌā.ī kahā
kis ġhazab kā dard zālim tere afsāne meñ thā
sun chuke jab haal mera le ke angDai kaha
kis ghazab ka dard zalim tere afsane mein tha
-
Tag : Dard
kaun ye le rahā hai añgḌā.ī
āsmānoñ ko niiñd aatī hai
kaun ye le raha hai angDai
aasmanon ko nind aati hai
dil kā kyā haal kahūñ sub.h ko jab us but ne
le ke añgḌā.ī kahā naaz se ham jaate haiñ
how to describe my state when at the crack of dawn
she stretched in lagour and said it was time to be gone
dil ka kya haal kahun subh ko jab us but ne
le ke angDai kaha naz se hum jate hain
how to describe my state when at the crack of dawn
she stretched in lagour and said it was time to be gone
-
Tags : Diland 1 more
luT ga.e ek hī añgḌā.ī meñ aisā bhī huā
umr-bhar phirte rahe ban ke jo hoshiyār bahut
luT gae ek hi angDai mein aisa bhi hua
umr-bhar phirte rahe ban ke jo hoshiyar bahut
dariyā-e-husn aur bhī do haath baḌh gayā
añgḌā.ī us ne nashshe meñ lī jab uThā ke haath
dariya-e-husn aur bhi do hath baDh gaya
angDai us ne nashshe mein li jab uTha ke hath
shāyad vo din pahlā din thā palkeñ bojhal hone kā
mujh ko dekhte hī jab us kī añgḌā.ī sharmā.ī hai
shayad wo din pahla din tha palken bojhal hone ka
mujh ko dekhte hi jab us ki angDai sharmai hai
be-sāḳhta bikhar ga.ī jalvoñ kī kā.enāt
ā.īna TuuT kar tirī añgḌā.ī ban gayā
be-saKHta bikhar gai jalwon ki kaenat
aaina TuT kar teri angDai ban gaya
-
Tag : Aaina
shāḳh-e-gul jhuum ke gulzār meñ sīdhī jo huī
phir gayā aañkh meñ naqsha tirī añgḌā.ī kā
shaKH-e-gul jhum ke gulzar mein sidhi jo hui
phir gaya aankh mein naqsha teri angDai ka
had-e-takmīl ko pahuñchī tirī ra.anā.ī-e-husn
jo kasar thī vo miTā dī tirī añgḌā.ī ne
had-e-takmil ko pahunchi teri ranai-e-husn
jo kasar thi wo miTa di teri angDai ne
kyā kyā dil-e-muztar ke armān machalte haiñ
tasvīr-e-qayāmat hai zālim tirī añgḌā.ī
kya kya dil-e-muztar ke arman machalte hain
taswir-e-qayamat hai zalim teri angDai
kyuuñ chamak uThtī hai bijlī baar baar
ai sitamgar le na añgḌā.ī bahut
kyun chamak uThti hai bijli bar bar
ai sitamgar le na angDai bahut
payām-e-zer-e-lab aisā ki kuchh sunā na gayā
ishāra paate hī añgḌā.ī lī rahā na gayā
payam-e-zer-e-lab aisa ki kuchh suna na gaya
ishaara pate hi angDai li raha na gaya
un se chhīñke se koī koī chiiz utarvā.ī hai
kaam kā kaam hai añgḌā.ī kī añgḌā.ī hai
un se chhinke se koi koi chiz utarwai hai
kaam ka kaam hai angDai ki angDai hai