Sher on Parwana
Moth that sheds its
life whirling round a lamp has emerged as a strong metaphor in Urdu poetry. Classical Urdu poetry has exploited the metaphoric value of this spectacle in most creative ways. You may like to see some of the examples around this theme.
sab ik charāġh ke parvāne honā chāhte haiñ
ajiib log haiñ dīvāne honā chāhte haiñ
sab ek charagh ke parwane hona chahte hain
ajib log hain diwane hona chahte hain
-
Tags : Diwangiand 1 more
hotī kahāñ hai dil se judā dil kī aarzū
jaatā kahāñ hai sham.a ko parvāna chhoḌ kar
hoti kahan hai dil se juda dil ki aarzu
jata kahan hai shama ko parwana chhoD kar
-
Tags : Aarzooand 2 more
tū kahīñ ho dil-e-dīvāna vahāñ pahuñchegā
sham.a hogī jahāñ parvāna vahāñ pahuñchegā
tu kahin ho dil-e-diwana wahan pahunchega
shama hogi jahan parwana wahan pahunchega
parvānoñ kā to hashr jo honā thā ho chukā
guzrī hai raat sham.a pe kyā dekhte chaleñ
parwanon ka to hashr jo hona tha ho chuka
guzri hai raat shama pe kya dekhte chalen
misl-e-parvāna fidā har ek kā dil ho gayā
yaar jis mahfil meñ baiThā sham-e-mahfil ho gayā
misl-e-parwana fida har ek ka dil ho gaya
yar jis mahfil mein baiTha sham-e-mahfil ho gaya
yuuñ to jal bujhne meñ donoñ haiñ barābar lekin
vo kahāñ sham.a meñ jo aag hai parvāne meñ
yun to jal bujhne mein donon hain barabar lekin
wo kahan shama mein jo aag hai parwane mein
ḳhud hī parvāne jal ga.e varna
sham.a jaltī hai raushnī ke liye
the moths got burned in their own plight
the flame just burns to shed some light
KHud hi parwane jal gae warna
shama jalti hai raushni ke liye
the moths got burned in their own plight
the flame just burns to shed some light
-
Tags : Raushniand 1 more
mat karo sham.a kuuñ badnām jalātī vo nahīñ
aap siiñ shauq patañgoñ ko hai jal jaane kā
cast not blame upon the flame it doesn’t burn to sear
the moths are
mat karo shama kun badnam jalati wo nahin
aap sin shauq patangon ko hai jal jaane ka
cast not blame upon the flame it doesn’t burn to sear
the moths are
jaane kyā mahfil-e-parvāna meñ dekhā us ne
phir zabāñ khul na sakī sham.a jo ḳhāmosh huī
jaane kya mahfil-e-parwana mein dekha us ne
phir zaban khul na saki shama jo KHamosh hui
-
Tags : Mehfiland 1 more
parvāne aa hī jā.eñge khiñch kar ba-jabr-e-ishq
mahfil meñ sirf sham.a jalāne kī der hai
parwane aa hi jaenge khinch kar ba-jabr-e-ishq
mahfil mein sirf shama jalane ki der hai
sham.a par ḳhuun kā ilzām ho sābit kyūñ-kar
phūñk dī laash bhī kambaḳht ne parvāne kī
shama par KHun ka ilzam ho sabit kyun-kar
phunk di lash bhi kambaKHt ne parwane ki
ye apne dil kī lagī ko bujhāne aate haiñ
parā.ī aag meñ jalte nahīñ haiñ parvāne
they come to extinguish the fire in their heart
in senseless immolation the moths do not take part
ye apne dil ki lagi ko bujhane aate hain
parai aag mein jalte nahin hain parwane
they come to extinguish the fire in their heart
in senseless immolation the moths do not take part
ḳhud bhī jaltī hai agar us ko jalātī hai ye
kam kisī tarah nahīñ sham.a bhī parvāne se
it aslo burns itself if it sears him
the flame is not lesser than the moth in any way
KHud bhi jalti hai agar us ko jalati hai ye
kam kisi tarah nahin shama bhi parwane se
it aslo burns itself if it sears him
the flame is not lesser than the moth in any way
-
Tag : Shama
parvāne kī tapish ne ḳhudā jaane kaan meñ
kyā kah diyā ki sham.a ke sar se dhuāñ uThā
parwane ki tapish ne KHuda jaane kan mein
kya kah diya ki shama ke sar se dhuan uTha
-
Tag : Shama
ishq meñ nisbat nahīñ bulbul ko parvāne ke saath
vasl meñ vo jaan de ye hijr meñ jiitī rahe
ishq mein nisbat nahin bulbul ko parwane ke sath
wasl mein wo jaan de ye hijr mein jiti rahe
mūjid jo nuur kā hai vo merā charāġh hai
parvāna huuñ maiñ anjuman-e-kā.enāt kā
mujid jo nur ka hai wo mera charagh hai
parwana hun main anjuman-e-kaenat ka
-
Tag : Charagh
tārīkī meñ hotā hai use vasl mayassar
parvāna kahāñ jaa.e shabistāñ se nikal kar
tariki mein hota hai use wasl mayassar
parwana kahan jae shabistan se nikal kar
ḳhaak kar deve jalā kar pahle phir Tisve bahā.e
sham.a majlis meñ baḌī dil-soz parvāne kī hai
KHak kar dewe jala kar pahle phir Tiswe bahae
shama majlis mein baDi dil-soz parwane ki hai
-
Tag : Shama