KHalid Malik Sahil
Ghazal 20
Nazm 6
Sher-o-Shayari 19
ḳhvāb dekhā thā mohabbat kā mohabbat kī qasam
phir isī ḳhvāb kī tābīr meñ masrūf thā maiñ
KHwab dekha tha mohabbat ka mohabbat ki qasam
phir isi KHwab ki tabir mein masruf tha main
-
Share this
- See Ghazal
bas ek ḳhauf thā zinda tirī judā.ī kā
mirā vo āḳhirī dushman bhī aaj maarā gayā
bas ek KHauf tha zinda teri judai ka
mera wo aaKHiri dushman bhi aaj mara gaya
-
Share this
- See Ghazal
junūñ kā koī fasāna to haath aane do
maiñ ro paḌūñgā bahāna to haath aane do
junun ka koi fasana to hath aane do
main ro paDunga bahana to hath aane do
-
Share this
- See Ghazal
chamak rahe the andhere meñ soch ke jugnū
maiñ apnī yaad ke ḳheme meñ so nahīñ paayā
chamak rahe the andhere mein soch ke jugnu
main apni yaad ke KHeme mein so nahin paya
-
Share this
- See Ghazal
tum maslahat kaho yā munāfiq kaho mujhe
dil meñ magar ġhubār bahut der tak rahā
tum maslahat kaho ya munafiq kaho mujhe
dil mein magar ghubar bahut der tak raha
-
Share this
- See Ghazal