yun dil o jaan ki tauqir mein masruf tha main
yuuñ dil o jaan kī tauqīr meñ masrūf thā maiñ
jaise ajdād kī jāgīr meñ masrūf thā maiñ
tīsha-e-vaqt ne buniyād hilā dī varna
har ghaḌī zaat kī tāmīr meñ masrūf thā maiñ
ḳhvāb dekhā thā mohabbat kā mohabbat kī qasam
phir isī ḳhvāb kī tābīr meñ masrūf thā maiñ
lafz rañgoñ meñ nahā.e hue ghar meñ aa.e
terī āvāz kī tasvīr meñ masrūf thā maiñ
ek ik pal mirī palkoñ meñ simaT aayā hai
ahd-e-gum-gashta kī tahrīr meñ masrūf thā maiñ
ab tire vāste ābād karūñgā duniyā
ek arsa tirī taqdīr meñ masrūf thā maiñ
yun dil o jaan ki tauqir mein masruf tha main
jaise ajdad ki jagir mein masruf tha main
tisha-e-waqt ne buniyaad hila di warna
har ghaDi zat ki tamir mein masruf tha main
KHwab dekha tha mohabbat ka mohabbat ki qasam
phir isi KHwab ki tabir mein masruf tha main
lafz rangon mein nahae hue ghar mein aae
teri aawaz ki taswir mein masruf tha main
ek ek pal meri palkon mein simaT aaya hai
ahd-e-gum-gashta ki tahrir mein masruf tha main
ab tere waste aabaad karunga duniya
ek arsa teri taqdir mein masruf tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.