junun ka koi fasana to hath aane do
junūñ kā koī fasāna to haath aane do
maiñ ro paḌūñgā bahāna to haath aane do
maiñ apnī zaat ke raushan karūñgā vīrāne
qubūliyat kā zamāna to haath aane do
maiñ ruup aur sañvāruñgā dāstānoñ ke
kisī kā qissa purānā to haath aane do
mirī nazar meñ zamāne kī kaj-adā.ī hai
nishāñ bahut haiñ nishāna to haath aane do
ḳharīd lūñgā maiñ duniyā zamīr kī 'sāhil'
zarā ruko ye ḳhazāna to haath aane do
junun ka koi fasana to hath aane do
main ro paDunga bahana to hath aane do
main apni zat ke raushan karunga virane
qubuliyat ka zamana to hath aane do
main rup aur sanwarunga dastanon ke
kisi ka qissa purana to hath aane do
meri nazar mein zamane ki kaj-adai hai
nishan bahut hain nishana to hath aane do
KHarid lunga main duniya zamir ki 'sahil'
zara ruko ye KHazana to hath aane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.