main apni aankh bhi KHwabon se dho nahin paya
maiñ apnī aañkh bhī ḳhvāboñ se dho nahīñ paayā
maiñ kaise dūñgā zamāne ko jo nahīñ paayā
shab-e-firāq thī mausam 'ajīb thā dil kā
maiñ apne sāmne baiThā thā ro nahīñ paayā
mirī ḳhatā hai ki maiñ ḳhvāhishoñ ke jangal meñ
koī sitāra koī chāñd bo nahīñ paayā
hasīn phūloñ se dīvār-o-dar sajā.e the
bas ek barg-e-dil aasā piro nahīñ paayā
chamak rahe the añdhere meñ soch ke jugnū
maiñ apnī yaad ke ḳheme meñ so nahīñ paayā
nahīñ hai harf-e-tasallī magar kahūñ 'sāhil'
nahīñ jo paayā kahīñ yaar to nahīñ paayā
main apni aankh bhi KHwabon se dho nahin paya
main kaise dunga zamane ko jo nahin paya
shab-e-firaq thi mausam 'ajib tha dil ka
main apne samne baiTha tha ro nahin paya
meri KHata hai ki main KHwahishon ke jangal mein
koi sitara koi chand bo nahin paya
hasin phulon se diwar-o-dar sajae the
bas ek barg-e-dil aasa piro nahin paya
chamak rahe the andhere mein soch ke jugnu
main apni yaad ke KHeme mein so nahin paya
nahin hai harf-e-tasalli magar kahun 'sahil'
nahin jo paya kahin yar to nahin paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.