Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ashfaq Nasir's Photo'

Ashfaq Nasir

Ashfaq Nasir

Ghazal 10

Sher-o-Shayari 12

ai junūñ us kahānī bhī sunā.ūñgā tujhe

ye jo paivand mire chaak meñ dekhā gayā hai

ai junun us ki kahani bhi sunaunga tujhe

ye jo paiwand mere chaak mein dekha gaya hai

ham aa.ine meñ tirā aks dekhne ke liye

ka.ī charāġh nadī meñ bahāne lagte haiñ

hum aaine mein tera aks dekhne ke liye

kai charagh nadi mein bahane lagte hain

ham faqat terī guftugū meñ nahīñ

har suḳhan har zabān meñ ham haiñ

hum faqat teri guftugu mein nahin

har suKHan har zaban mein hum hain

tujhe tere havāle kar diyā

kheñch le ye haath phailāyā huā

ja tujhe tere hawale kar diya

khench le ye hath phailaya hua

vo shaḳhs jis ḳhushī baa.is thiiñ merī bāteñ

use ab un par malāl karne bhī aa ga.e haiñ

wo shaKHs jis ki KHushi ka bais thin meri baaten

use ab un par malal karne bhi aa gae hain

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now