phūloñ ko surḳhī dene meñ
patte piile ho jaate haiñ
phulon ko surKHi dene mein
patte pile ho jate hain
-
Tag : Phool
aate haiñ barg-o-bār daraḳhtoñ ke jism par
tum bhī uThāo haath ki mausam duā kā hai
aate hain barg-o-bar daraKHton ke jism par
tum bhi uThao hath ki mausam dua ka hai
-
Tag : Dua
shajar-e-tar na yahāñ barg-e-shanāsā koī
is qarīne se sajāyā hai ye manzar kis ne
shajar-e-tar na yahan barg-e-shanasa koi
is qarine se sajaya hai ye manzar kis ne
le aa.egā ik roz gul o barg bhī 'sarvat'
bārāñ kā musalsal ḳhas-o-ḳhāshāk pe honā
le aaega ek roz gul o barg bhi 'sarwat'
baran ka musalsal KHas-o-KHashak pe hona
sab ko phuul aur kaliyāñ bāñTo ham ko do sūkhe patte
ye kaise tohfe laa.e ho ye kyā barg-faroshī hai
sab ko phul aur kaliyan banTo hum ko do sukhe patte
ye kaise tohfe lae ho ye kya barg-faroshi hai
shāḳhoñ se barg-e-gul nahīñ jhaḌte haiñ baaġh meñ
zevar utar rahā hai urūs-e-bahār kā
shaKHon se barg-e-gul nahin jhaDte hain bagh mein
zewar utar raha hai urus-e-bahaar ka
shajar se bichhḌā huā barg-e-ḳhushk huuñ 'faisal'
havā ne apne gharāne meñ rakh liyā hai mujhe
shajar se bichhDa hua barg-e-KHushk hun 'faisal'
hawa ne apne gharane mein rakh liya hai mujhe
-
Tag : Hawa
barg-e-gul aa maiñ tere bose luuñ
tujh meñ hai Dhañg yaar ke lab kā
barg-e-gul aa main tere bose lun
tujh mein hai Dhang yar ke lab ka
kyā jaane shāḳh-e-vaqt se kis vaqt gir paḌūñ
mānind-e-barg-e-zard abhī Doltā huuñ maiñ
kya jaane shaKH-e-waqt se kis waqt gir paDun
manind-e-barg-e-zard abhi Dolta hun main