ham amn chāhte haiñ magar zulm ke ḳhilāf
gar jañg lāzmī hai to phir jañg hī sahī
hum amn chahte hain magar zulm ke KHilaf
gar jang lazmi hai to phir jang hi sahi
-
Tags : Deshbhaktiand 3 more
zulm sahnā bhī to zālim kī himāyat Thahrā
ḳhāmushī bhī to huī pusht-panāhī kī tarah
zulm sahna bhi to zalim ki himayat Thahra
KHamushi bhi to hui pusht-panahi ki tarah
kuchh na kahne se bhī chhin jaatā hai ejāz-e-suḳhan
zulm sahne se bhī zālim kī madad hotī hai
kuchh na kahne se bhi chhin jata hai ejaz-e-suKHan
zulm sahne se bhi zalim ki madad hoti hai
ai zulm ke maato lab kholo chup rahne vaalo chup kab tak
kuchh hashr to un se uTThegā kuchh duur to naale jā.eñge
ai zulm ke mato lab kholo chup rahne walo chup kab tak
kuchh hashr to un se uTThega kuchh dur to nale jaenge
-
Tag : Resistance
hazāroñ zulm hoñ mazlūm par to chup rahe duniyā
agar mazlūm kuchh bole to dahshat-gard kahtī hai
hazaron zulm hon mazlum par to chup rahe duniya
agar mazlum kuchh bole to dahshat-gard kahti hai
-
Tag : Resistance
kuchh zulm o sitam sahne kī aadat bhī hai ham ko
kuchh ye hai ki darbār meñ sunvā.ī bhī kam hai
kuchh zulm o sitam sahne ki aadat bhi hai hum ko
kuchh ye hai ki darbar mein sunwai bhi kam hai
jaane kyā kyā zulm parinde dekh ke aate haiñ
shaam Dhale peḌoñ par marsiya-ḳhvānī hotī hai
jaane kya kya zulm parinde dekh ke aate hain
sham Dhale peDon par marsiya-KHwani hoti hai
-
Tag : Parinda
asīrān-e-qafas par zulm to sayyād karte haiñ
ki un ke par katar lete haiñ tab āzād karte haiñ
asiran-e-qafas par zulm to sayyaad karte hain
ki un ke par katar lete hain tab aazad karte hain