Sher on Aajizi
Humility is a great
human virtue and keeps us away from growing arrogant, complacent, and falsely proud. It is used in both romantic as well as spiritualist context and in both the contexts, it qualifies a man as a human being. Some examples are here for you to see for yourself.
kushāda dast-e-karam jab vo be-niyāz kare
niyāz-mand na kyuuñ ājizī pe naaz kare
kushada dast-e-karam jab wo be-niyaz kare
niyaz-mand na kyun aajizi pe naz kare
zinda rakhīñ buzurgoñ kī ham ne rivāyateñ
dushman se bhī mile to mile ājizī se ham
zinda rakhin buzurgon ki hum ne riwayaten
dushman se bhi mile to mile aajizi se hum
ashk agar sab ne likhe maiñ ne sitāre likkhe
ājizī sab ne likhī maiñ ne ibādat likkhā
ashk agar sab ne likhe main ne sitare likkhe
aajizi sab ne likhi main ne ibaadat likkha
martaba aaj bhī zamāne meñ
pyaar se ājizī se miltā hai
martaba aaj bhi zamane mein
pyar se aajizi se milta hai
is tarah munsalik huā urdu zabān se
miltā huuñ ab sabhī se baḌī ājizī ke saath
is tarah munsalik hua urdu zaban se
milta hun ab sabhi se baDi aajizi ke sath
koī ḳhud se mujhe kamtar samajh le
ye matlab bhī nahīñ hai ājizī kā
koi KHud se mujhe kamtar samajh le
ye matlab bhi nahin hai aajizi ka
ājizī aaj hai mumkin hai na ho kal mujh meñ
is tarah aib nikālo na musalsal mujh meñ
aajizi aaj hai mumkin hai na ho kal mujh mein
is tarah aib nikalo na musalsal mujh mein
ġhurūr bhī jo karūñ maiñ to ājizī ho jaa.e
ḳhudī meñ lutf vo aa.e ki be-ḳhudī ho jaa.e
ghurur bhi jo karun main to aajizi ho jae
KHudi mein lutf wo aae ki be-KHudi ho jae
mujh ko sādāt kī nisbat ke sabab mere ḳhudā
ājizī denā takabbur kī adā mat denā
mujh ko sadat ki nisbat ke sabab mere KHuda
aajizi dena takabbur ki ada mat dena
bandishoñ ko toḌne kī koshisheñ kartī huī
sar paTaktī lahr terī ājizī achchhī lagī
bandishon ko toDne ki koshishen karti hui
sar paTakti lahr teri aajizi achchhi lagi
ijz ke saath chale aa.e haiñ ham 'yazdānī'
koī aur un ko manā lene kā Dhab yaad nahīñ
ijz ke sath chale aae hain hum 'yazdani'
koi aur un ko mana lene ka Dhab yaad nahin
ājizī baḳhshī ga.ī tamkanat-e-faqr ke saath
dene vaale ne hameñ kaun sī daulat nahīñ dī
aajizi baKHshi gai tamkanat-e-faqr ke sath
dene wale ne hamein kaun si daulat nahin di
ab dekhnā hai mujh ko tire āstāñ kā zarf
sar ko jhukā rahā huuñ baḌī ājizī ke saath
ab dekhna hai mujh ko tere aastan ka zarf
sar ko jhuka raha hun baDi aajizi ke sath
minnat-o-ājizī o zārī-o-āh
tere aage hazār kar dekhā
minnat-o-ajizi o zari-o-ah
tere aage hazar kar dekha
ragḌī haiñ eḌiyāñ to huī hai ye mustajāb
kis ājizī se kī hai duā kuchh na pūchhiye
ragDi hain eDiyan to hui hai ye mustajab
kis aajizi se ki hai dua kuchh na puchhiye
ājizī kahne lagī gar ho bulandī kī talab
dil jhukā dā.ira-e-na.ara-e-takbīr meñ aa
aajizi kahne lagi gar ho bulandi ki talab
dil jhuka daira-e-nara-e-takbir mein aa
peḌ ho yā ki aadmī 'ġhā.er'
sar-buland apnī ājizī se huā
peD ho ya ki aadmi 'ghaer'
sar-buland apni aajizi se hua
kisī ke rāste kī ḳhaak meñ paḌe haiñ 'zafar'
matā-e-umr yahī ājizī nikaltī hai
kisi ke raste ki KHak mein paDe hain 'zafar'
mata-e-umr yahi aajizi nikalti hai
o aañkh badal ke jaane vaale
kuchh dhyān kisī kī ājizī kā
o aankh badal ke jaane wale
kuchh dhyan kisi ki aajizi ka
chalā.ūñgā tesha meñ ab ājizī kā
anā us kī mismār ho kar rahegī
chalaunga tesha mein ab aajizi ka
ana us ki mismar ho kar rahegi
kabhī thī vo ġhusse kī chitvan qayāmat
kabhī ājizī se manānā kisī kā
kabhi thi wo ghusse ki chitwan qayamat
kabhi aajizi se manana kisi ka
is ājizī se kiyā us ne mere sar kā savāl
ḳhud apne haath se talvār toḌ dī maiñ ne
is aajizi se kiya us ne mere sar ka sawal
KHud apne hath se talwar toD di main ne
barā.e ahl-e-jahāñ laakh kaj-kulāh the ham
ga.e harīm-e-suḳhan meñ to ājizī se ga.e
barae ahl-e-jahan lakh kaj-kulah the hum
gae harim-e-suKHan mein to aajizi se gae
ḳhudāyā ājizī se maiñ ne māñgā kyā milā kyā
asar merī duāoñ kā ye ulTā kyuuñ huā hai
KHudaya aajizi se main ne manga kya mila kya
asar meri duaon ka ye ulTa kyun hua hai
vo manā.egā jis se rūThe ho
ham ko minnat se ājizī se ġharaz
wo manaega jis se ruThe ho
hum ko minnat se aajizi se gharaz
ye naqsh-e-ḳhushnumā dar-asl naqsh-e-ājizī hai
ki asl-e-husn to andesha-e-bahzād meñ hai
ye naqsh-e-KHushnuma dar-asl naqsh-e-ajizi hai
ki asl-e-husn to andesha-e-bahzad mein hai