Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Mahshar Inayati

1909 - 1976 | Rampur, India

One of the most prominent poets representing Rampur style

One of the most prominent poets representing Rampur style

Sher of Mahshar Inayati

4.5K
Favorite

SORT BY

un ġham un tasavvur un yaad

kaT rahī hai zindagī ārām se

un ka gham un ka tasawwur un ki yaad

kaT rahi hai zindagi aaram se

chale bhī aao mire jīte-jī ab itnā bhī

na intizār baḌhāo ki niiñd aa jaa.e

chale bhi aao mere jite-ji ab itna bhi

na intizar baDhao ki nind aa jae

kisī bazm ke hālāt ne samjhā diyā mujh ko

ki jab saaqī nahīñ apnā to mai apnī na jaam apnā

kisi ki bazm ke haalat ne samjha diya mujh ko

ki jab saqi nahin apna to mai apni na jam apna

har ek baat zabāñ se kahī nahīñ jaatī

jo chupke baiThe haiñ kuchh un baat bhī samjho

har ek baat zaban se kahi nahin jati

jo chupke baiThe hain kuchh un ki baat bhi samjho

baḌī tavīl hai 'mahshar' kisī ke hijr baat

koī ġhazal sunāo ki niiñd aa jaa.e

baDi tawil hai 'mahshar' kisi ke hijr ki baat

koi ghazal hi sunao ki nind aa jae

na ġhair mujhe samjho na dost samjho

mire liye ye bahut hai ki aadmī samjho

na ghair hi mujhe samjho na dost hi samjho

mere liye ye bahut hai ki aadmi samjho

qasam jab us ne khaa.ī ham ne e'tibār kar liyā

zarā der zindagī ko ḳhush-gavār kar liyā

qasam jab us ne khai hum ne e'tibar kar liya

zara si der zindagi ko KHush-gawar kar liya

lab pe ik naam hamesha tarah

aur kyā kaam hamesha tarah

lab pe ek nam hamesha ki tarah

aur kya kaam hamesha ki tarah

na bāteñ kare hai na dekhā kare hai

magar mere baare meñ sochā kare hai

na baaten kare hai na dekha kare hai

magar mere bare mein socha kare hai

sunte the 'mahshar' kabhī patthar bhī ho jaatā hai mom

aaj vo aa.e to palkoñ ko bhigonā paḌ gayā

sunte the 'mahshar' kabhi patthar bhi ho jata hai mom

aaj wo aae to palkon ko bhigona paD gaya

maiñ dīvāna sahī lekin vo ḳhush-qismat huuñ ai 'mahshar'

ki duniyā zabāñ par aa gayā hai aaj naam apnā

main diwana sahi lekin wo KHush-qismat hun ai 'mahshar'

ki duniya ki zaban par aa gaya hai aaj nam apna

ik unheñ dekho ik mujhe dekho

vaqt kitnā karishma-kār hai

ek unhen dekho ek mujhe dekho

waqt kitna karishma-kar sa hai

agar apne dil-e-betāb ko samjhā liyā maiñ ne

to ye kāfir nigāheñ kar sakeñgī intizām apnā

agar apne dil-e-betab ko samjha liya main ne

to ye kafir nigahen kar sakengi intizam apna

sab ne banā banā ke tamāshā hameñ tumheñ

hairat huī jo ġhaur se dekhā hameñ tumheñ

TRANSLATION

Everyone has made a spectacle of us two,

Now gazing with surprize at me and at you.

Sagar Akbarabadi

sab ne bana bana ke tamasha hamein tumhein

hairat hui jo ghaur se dekha hamein tumhein

TRANSLATION

Everyone has made a spectacle of us two,

Now gazing with surprize at me and at you.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now