umr kaT jaegi aazmate hue
umr kaT jā.egī āzmāte hue
kis ko ma.alūm thā dil lagāte hue
zindagī zindagī ab rahī hī kahāñ
ziist kahtī hai ye muskurāte hue
ab to ye bhī nahīñ yaad mujh ko rahā
us ko dekhā thā kab muskurāte hue
ye siyah raat bhī kaT ga.ī shukr hai
apne maulā ko ro kar manāte hue
kaun guzrā hai ye āñdhiyoñ kī tarah
sham.a-e-rāh-e-vafā ko bujhāte hue
umr kaT jaegi aazmate hue
kis ko malum tha dil lagate hue
zindagi zindagi ab rahi hi kahan
zist kahti hai ye muskuraate hue
ab to ye bhi nahin yaad mujh ko raha
us ko dekha tha kab muskuraate hue
ye siyah raat bhi kaT gai shukr hai
apne maula ko ro kar manate hue
kaun guzra hai ye aandhiyon ki tarah
shama-e-rah-e-wafa ko bujhate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.