ab udasi hi udasi hai muqaddar apna
ab udāsī hī udāsī hai muqaddar apnā
jaane kis raah meñ gum ho gayā lashkar apnā
dil ke hone kā patā ab nahīñ lagtā hai hameñ
jism-o-jāñ jaise huā saarā hai patthar apnā
nūr-e-īmān se raushan hai vajūd-e-ādam
aks-e-īmān se siina thā munavvar apnā
raas duniyā mujhe aa.ī tire hone se magar
terā ġham hī to rahā aaj bhī rahbar apnā
kī hai sargoshī sar-e-shām mire dil ne phir
is liye ham ne lapeTā nahīñ bistar apnā
ab udasi hi udasi hai muqaddar apna
jaane kis rah mein gum ho gaya lashkar apna
dil ke hone ka pata ab nahin lagta hai hamein
jism-o-jaan jaise hua sara hai patthar apna
nur-e-iman se raushan hai wajud-e-adam
aks-e-iman se sina tha munawwar apna
ras duniya mujhe aai tere hone se magar
tera gham hi to raha aaj bhi rahbar apna
ki hai sargoshi sar-e-sham mere dil ne phir
is liye hum ne lapeTa nahin bistar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.