Iqbal Ashhar Quraishi
Ghazal 18
Sher-o-Shayari 5
satāyā aaj munāsib jagah pe bārish ne
isī bahāne Thahar jaa.eñ us kā ghar hai yahāñ
sataya aaj munasib jagah pe barish ne
isi bahane Thahar jaen us ka ghar hai yahan
-
Share this
- See Ghazal
'ash.har' bahut sī pattiyāñ shāḳhoñ se chhin ga.iiñ
tafsīr kyā kareñ ki havā tez ab bhī hai
'ashhar' bahut si pattiyan shaKHon se chhin gain
tafsir kya karen ki hawa tez ab bhi hai
-
Share this
- See Ghazal
daraḳht haath hilāte the rahnumā.ī ko
musāfiroñ ne to kuchh bhī nahīñ kahā mujh se
daraKHt hath hilate the rahnumai ko
musafiron ne to kuchh bhi nahin kaha mujh se
-
Share this
- See Ghazal
jo log lauT ke ḳhud mere paas aa.e haiñ
vo pūchhte haiñ ki 'ash.har' yahīñ pe ab tak ho
jo log lauT ke KHud mere pas aae hain
wo puchhte hain ki 'ashhar' yahin pe ab tak ho
-
Share this
- See Ghazal
ḳhud ko jab bhuul se jaate haiñ to yuuñ lagtā hai
zindagī tere azāboñ se nikal aa.e haiñ
KHud ko jab bhul se jate hain to yun lagta hai
zindagi tere azabon se nikal aae hain
-
Share this
- See Ghazal