ye KHauf kam hai mujhe aur chamko jab tak ho
ye KHauf kam hai mujhe aur chamko jab tak ho
Iqbal Ashhar Quraishi
MORE BYIqbal Ashhar Quraishi
ye ḳhauf kam hai mujhe aur chamko jab tak ho
siyāh raat ke sannāTo tum bhī kab tak ho
musāfiro kahīñ tanhā.iyāñ na ban jaanā
ki saath ho bhī agar tum to ik sabab tak ho
ye kaj-adā.ī bahut kam nasīb hotī hai
tum apne ġham meñ akele ho phir bhī sab tak ho
jo log lauT ke ḳhud mere paas aa.e haiñ
vo pūchhte haiñ ki 'ash.har' yahīñ pe ab tak ho
ye KHauf kam hai mujhe aur chamko jab tak ho
siyah raat ke sannaTo tum bhi kab tak ho
musafiro kahin tanhaiyan na ban jaana
ki sath ho bhi agar tum to ek sabab tak ho
ye kaj-adai bahut kam nasib hoti hai
tum apne gham mein akele ho phir bhi sab tak ho
jo log lauT ke KHud mere pas aae hain
wo puchhte hain ki 'ashhar' yahin pe ab tak ho
- Book : Be Sada Fariyad (Pg. 73)
- Author : Iqbal Ashhar Qureshi
- Publication : Sarvottam Marketing in Corporation Vivekanand Nagar Kamti, Mumbai (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.