farar pa na saka koi rasta mujhse
farār pā na sakā koī rāsta mujh se
hazār baar mirā sāmnā huā mujh se
daraḳht haath hilāte the rahnumā.ī ko
musāfiroñ ne to kuchh bhī nahīñ kahā mujh se
ye be-hunar bhī nahīñ saath bhī nahīñ dete
na jaane hai mire hāthoñ ko bair kyā mujh se
maiñ lauTne ke tasavvur se ḳhauf khātā huuñ
lipaT na jaa.eñ kahīñ mere naqsh-e-pā mujh se
hazār baar janam bhī liyā to kyā 'ash.har'
mirā vajūd bichhaḌtā chalā gayā mujh se
farar pa na saka koi rasta mujh se
hazar bar mera samna hua mujh se
daraKHt hath hilate the rahnumai ko
musafiron ne to kuchh bhi nahin kaha mujh se
ye be-hunar bhi nahin sath bhi nahin dete
na jaane hai mere hathon ko bair kya mujh se
main lauTne ke tasawwur se KHauf khata hun
lipaT na jaen kahin mere naqsh-e-pa mujh se
hazar bar janam bhi liya to kya 'ashhar'
mera wajud bichhaDta chala gaya mujh se
- Book : Be Sada Fariyad (Pg. 92)
- Author : Iqbal Ashhar Qureshi
- Publication : Sarvottam Marketing in Corporation Vivekanand Nagar Kamti, Mumbai (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.