Haseeb Soz
Ghazal 14
Sher-o-Shayari 9
ye bad-nasībī nahīñ hai to aur phir kyā hai
safar akele kiyā ham-safar ke hote hue
ye bad-nasibi nahin hai to aur phir kya hai
safar akele kiya ham-safar ke hote hue
-
Share this
- See Ghazal
yahāñ mazbūt se mazbūt lohā TuuT jaatā hai
ka.ī jhūTe ikaTThe hoñ to sachchā TuuT jaatā hai
yahan mazbut se mazbut loha TuT jata hai
kai jhuTe ikaTThe hon to sachcha TuT jata hai
-
Share this
- See Ghazal
ye intiqām hai yā ehtijāj hai kyā hai
ye log dhuup meñ kyuuñ haiñ shajar ke hote hue
ye intiqam hai ya ehtijaj hai kya hai
ye log dhup mein kyun hain shajar ke hote hue
-
Share this
- See Ghazal
merī sanjīda tabī.at pe bhī shak hai sab ko
baaz logoñ ne to bīmār samajh rakkhā hai
meri sanjida tabiat pe bhi shak hai sab ko
baz logon ne to bimar samajh rakkha hai
-
Share this
- See Ghazal
vo ek raat kī gardish meñ itnā haar gayā
libās pahne rahā aur badan utaar gayā
wo ek raat ki gardish mein itna haar gaya
libas pahne raha aur badan utar gaya
-
Share this
- See Ghazal