yahan mazbut se mazbut loha TuT jata hai
yahāñ mazbūt se mazbūt lohā TuuT jaatā hai
ka.ī jhūTe ikaTThe hoñ to sachchā TuuT jaatā hai
na itnā shor kar zālim hamāre TuuT jaane par
ki gardish meñ falak se bhī sitārā TuuT jaatā hai
tasallī dene vaale to tasallī dete rahte haiñ
magar vo kyā kare jis kā bharosā TuuT jaatā hai
kisī se ishq karte ho to phir ḳhāmosh rahiyegā
zarā sī Thes se varna ye shīsha TuuT jaatā hai
yahan mazbut se mazbut loha TuT jata hai
kai jhuTe ikaTThe hon to sachcha TuT jata hai
na itna shor kar zalim hamare TuT jaane par
ki gardish mein falak se bhi sitara TuT jata hai
tasalli dene wale to tasalli dete rahte hain
magar wo kya kare jis ka bharosa TuT jata hai
kisi se ishq karte ho to phir KHamosh rahiyega
zara si Thes se warna ye shisha TuT jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.