wo ek raat ki gardish mein itna haar gaya
vo ek raat kī gardish meñ itnā haar gayā
libās pahne rahā aur badan utaar gayā
hasab-nasab bhī kirā.e pe log laane lage
hamāre haath se ab ye bhī kārobār gayā
use qarīb se dekhā to kuchh shifā paa.ī
ka.ī baras meñ mire jism se buḳhār gayā
tumhārī jiit kā matlab hai jañg phir hogī
hamārī haar kā matlab hai intishār gayā
tū ek saal meñ ik saañs bhī na jī paayā
maiñ ek sajde meñ sadiyāñ ka.ī guzār gayā
wo ek raat ki gardish mein itna haar gaya
libas pahne raha aur badan utar gaya
hasab-nasab bhi kirae pe log lane lage
hamare hath se ab ye bhi karobar gaya
use qarib se dekha to kuchh shifa pai
kai baras mein mere jism se buKHar gaya
tumhaari jit ka matlab hai jang phir hogi
hamari haar ka matlab hai intishaar gaya
tu ek sal mein ek sans bhi na ji paya
main ek sajde mein sadiyan kai guzar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.