Dushyant Kumar
Ghazal 10
Sher-o-Shayari 22
kaise ākāsh meñ sūrāḳh nahīñ ho saktā
ek patthar to tabī.at se uchhālo yaaro
kaise aakash mein suraKH nahin ho sakta
ek patthar to tabiat se uchhaalo yaro
-
Share this
- See Ghazal
kahāñ to tai thā charāġhāñ har ek ghar ke liye
kahāñ charāġh mayassar nahīñ shahar ke liye
TRANSLATION
It was agreed that each and every house will glow,
For the whole city, there is not a single lamp though.
Sagar Akbarabadi
kahan to tai tha charaghan har ek ghar ke liye
kahan charagh mayassar nahin shahar ke liye
TRANSLATION
It was agreed that each and every house will glow,
For the whole city, there is not a single lamp though.
Sagar Akbarabadi
Hindi Ghazal 26
Image Shayari 7
agar KHudaa na kare sach ye KHvaab ho jaa.e tirii sahar ho miraa aaftaab ho jaa.e huzuur aariz-o-ruKHsaar kyaa tamaam badan mirii suno to mujassam gulaab ho jaa.e uThaa ke phe.nk do khi.Dkii se saaGar-o-miinaa ye tishnagii jo tumhe.n dastiyaab ho jaa.e vo baat kitnii bhalii hai jo aap karte hai.n suno to siine kii dha.Dkan rabaab ho jaa.e bahut qariib na aa.o yaqii.n nahii.n hogaa ye aarzuu bhii agar kaamyaab ho jaa.e Galat kahuu.n to mirii aaqibat biga.Dtii hai jo sach kahuu.n to KHudii be-naqaab ho jaa.e