ye sara jism jhuk kar bojh se dohra hua hoga
ye saarā jism jhuk kar bojh se dohrā huā hogā
maiñ sajde meñ nahīñ thā aap ko dhokā huā hogā
yahāñ tak aate aate suukh jaatī hai ka.ī nadiyāñ
mujhe ma.alūm hai paanī kahāñ Thahrā huā hogā
ġhazab ye hai kī apnī maut kī aahaT nahīñ sunte
vo sab ke sab pareshāñ haiñ vahāñ par kyā huā hogā
tumhāre shahr meñ ye shor sun sun kar to lagtā hai
ki insānoñ ke jañgal meñ koī hāñkā huā hogā
ka.ī faaqe bitā kar mar gayā jo us ke baare meñ
vo sab kahte haiñ ab aisā nahīñ aisā huā hogā
yahāñ to sirf gūñge aur bahre log baste haiñ
ḳhudā jaane yahāñ par kis tarah jalsa huā hogā
chalo ab yādgāroñ kī añdherī koTharī kholeñ
kam-az-kam ek vo chehrā to pahchānā huā hogā
ye sara jism jhuk kar bojh se dohra hua hoga
main sajde mein nahin tha aap ko dhoka hua hoga
yahan tak aate aate sukh jati hai kai nadiyan
mujhe malum hai pani kahan Thahra hua hoga
ghazab ye hai ki apni maut ki aahaT nahin sunte
wo sab ke sab pareshan hain wahan par kya hua hoga
tumhaare shahr mein ye shor sun sun kar to lagta hai
ki insanon ke jangal mein koi hanka hua hoga
kai faqe bita kar mar gaya jo us ke bare mein
wo sab kahte hain ab aisa nahin aisa hua hoga
yahan to sirf gunge aur bahre log baste hain
KHuda jaane yahan par kis tarah jalsa hua hoga
chalo ab yaadgaron ki andheri koThari kholen
kam-az-kam ek wo chehra to pahchana hua hoga
- Book : saaye mein dhoop (Pg. 15)
- Author : Dushyant Kumar
- Publication : Radha krishna private limited (1975,1995)
- Edition : 1975,1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.