ye jo shahtir hai palkon pe uTha lo yaro
ye jo shahtīr hai palkoñ pe uThā lo yaaro
ab koī aisā tarīqa bhī nikālo yaaro
dard-e-dil vaqt ko paiġhām bhī pahuñchā.egā
is kabūtar ko zarā pyaar se paalo yaaro
log hāthoñ meñ liye baiThe haiñ apne piñjre
aaj sayyād ko mahfil meñ bulā lo yaaro
aaj sīvan ko udheḌo to zarā dekheñge
aaj sandūq se vo ḳhat to nikālo yaaro
rahnumāoñ kī adāoñ pe fidā hai duniyā
is bahaktī huī duniyā ko sañbhālo yaaro
kaise ākāsh meñ sūrāḳh nahīñ ho saktā
ek patthar to tabī.at se uchhālo yaaro
log kahte the ki ye baat nahīñ kahne kī
tum ne kah dī hai to kahne kī sazā lo yaaro
ye jo shahtir hai palkon pe uTha lo yaro
ab koi aisa tariqa bhi nikalo yaro
dard-e-dil waqt ko paigham bhi pahunchaega
is kabutar ko zara pyar se palo yaro
log hathon mein liye baiThe hain apne pinjre
aaj sayyaad ko mahfil mein bula lo yaro
aaj siwan ko udheDo to zara dekhenge
aaj sanduq se wo KHat to nikalo yaro
rahnumaon ki adaon pe fida hai duniya
is bahakti hui duniya ko sanbhaalo yaro
kaise aakash mein suraKH nahin ho sakta
ek patthar to tabiat se uchhaalo yaro
log kahte the ki ye baat nahin kahne ki
tum ne kah di hai to kahne ki saza lo yaro
- Book : Saye mein dhoop (Pg. 49)
- Author : Dushyant Kumar
- Publication : Radha krishna Prakashan.Pvt.Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.