ghuTan si hone lagi uske pas jate hue
ghuTan sī hone lagī us ke paas jaate hue
maiñ ḳhud se ruuTh gayā huuñ use manāte hue
ye zaḳhm zaḳhm manāzir lahū lahū chehre
kahāñ chale ga.e vo log hañste gaate hue
na jaane ḳhatm huī kab hamārī āzādī
ta.alluqāt kī pābandiyāñ nibhāte hue
hai ab bhī bistar-e-jāñ par tire badan kī shikan
maiñ ḳhud hī miTne lagā huuñ use miTāte hue
tumhāre aane kī ummīd bar nahīñ aatī
maiñ raakh hone lagā huuñ diye jalāte hue
ghuTan si hone lagi us ke pas jate hue
main KHud se ruTh gaya hun use manate hue
ye zaKHm zaKHm manazir lahu lahu chehre
kahan chale gae wo log hanste gate hue
na jaane KHatm hui kab hamari aazadi
talluqat ki pabandiyan nibhate hue
hai ab bhi bistar-e-jaan par tere badan ki shikan
main KHud hi miTne laga hun use miTate hue
tumhaare aane ki ummid bar nahin aati
main rakh hone laga hun diye jalate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.