ye bar-e-gham bhi uThaya nahin bahut din se
ye bār-e-ġham bhī uThāyā nahīñ bahut din se
ki us ne ham ko rulāyā nahīñ bahut din se
chalo ki ḳhaak uḌā.eñ chalo sharāb piyeñ
kisī kā hijr manāyā nahīñ bahut din se
ye kaifiyat hai merī jaan ab tujhe kho kar
ki ham ne ḳhud ko bhī paayā nahīñ bahut din se
har ek shaḳhs yahāñ mahv-e-ḳhvāb lagtā hai
kisī ne ham ko jagāyā nahīñ bahut din se
ye ḳhauf hai ki ragoñ meñ lahū na jam jaa.e
tumheñ gale se lagāyā nahīñ bahut din se
ye bar-e-gham bhi uThaya nahin bahut din se
ki us ne hum ko rulaya nahin bahut din se
chalo ki KHak uDaen chalo sharab piyen
kisi ka hijr manaya nahin bahut din se
ye kaifiyat hai meri jaan ab tujhe kho kar
ki hum ne KHud ko bhi paya nahin bahut din se
har ek shaKHs yahan mahw-e-KHwab lagta hai
kisi ne hum ko jagaya nahin bahut din se
ye KHauf hai ki ragon mein lahu na jam jae
tumhein gale se lagaya nahin bahut din se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.