yaad rakkhega mera kaun fasana mere dost
yaad rakkhegā mirā kaun fasāna mire dost
maiñ na majnūñ huuñ na majnūñ kā zamāna mire dost
hijr insāñ ke ḳhad-o-ḳhāl badal detā hai
kabhī fursat meñ mujhe dekhne aanā mire dost
shaam Dhalne se faqat shaam nahīñ Dhaltī hai
umr Dhal jaatī hai jaldī palaT aanā mire dost
roz kuchh log mire shahr meñ mar jaate haiñ
ain mumkin hai Thahar kar chale jaanā mire dost
tum agar ab bhī khañDar dekh ke ḳhush hote ho
to kisī din mirī jānib nikal aanā mire dost
jaise miTTī ko havā saath liye phirtī hai
maiñ kahāñ aur kahāñ merā Thikāna mire dost
yaad rakkhega mera kaun fasana mere dost
main na majnun hun na majnun ka zamana mere dost
hijr insan ke KHad-o-KHal badal deta hai
kabhi fursat mein mujhe dekhne aana mere dost
sham Dhalne se faqat sham nahin Dhalti hai
umr Dhal jati hai jaldi palaT aana mere dost
roz kuchh log mere shahr mein mar jate hain
ain mumkin hai Thahar kar chale jaana mere dost
tum agar ab bhi khanDar dekh ke KHush hote ho
to kisi din meri jaanib nikal aana mere dost
jaise miTTi ko hawa sath liye phirti hai
main kahan aur kahan mera Thikana mere dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.