aks ko phul banane mein guzar jati hai
aks ko phuul banāne meñ guzar jaatī hai
zindagī ā.ina-ḳhāne meñ guzar jaatī hai
shaam hotī hai to lagtā hai koī ruuTh gayā
aur shab us ko manāne meñ guzar jaatī hai
har mohabbat ke liye dil meñ alag ḳhāna hai
har mohabbat usī ḳhāne meñ guzar jaatī hai
zindagī bojh batātā thā batāne vaalā
ye to bas ek bahāne meñ guzar jaatī hai
tū batā aañkh nayā ḳhvāb kahāñ se dekhe
roz shab tujh ko bhulāne meñ guzar jaatī hai
vo chalā jaatā hai aur sā.at-e-ruḳhsat 'ashfāq'
jism kā bojh uThāne meñ guzar jaatī hai
aks ko phul banane mein guzar jati hai
zindagi aaina-KHane mein guzar jati hai
sham hoti hai to lagta hai koi ruTh gaya
aur shab us ko manane mein guzar jati hai
har mohabbat ke liye dil mein alag KHana hai
har mohabbat usi KHane mein guzar jati hai
zindagi bojh batata tha batane wala
ye to bas ek bahane mein guzar jati hai
tu bata aankh naya KHwab kahan se dekhe
roz shab tujh ko bhulane mein guzar jati hai
wo chala jata hai aur saat-e-ruKHsat 'ashfaq'
jism ka bojh uThane mein guzar jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.