Ahmad Ziya
Ghazal 9
Sher-o-Shayari 8
ik maiñ huuñ ki lahroñ kī tarah chain nahīñ hai
ik vo hai ki ḳhāmosh samundar kī tarah hai
ek main hun ki lahron ki tarah chain nahin hai
ek wo hai ki KHamosh samundar ki tarah hai
-
Share this
- See Ghazal
hai merā chehra saikaḌoñ chehroñ kā ā.īna
bezār ho gayā huuñ tamāshā.iyoñ se maiñ
hai mera chehra saikaDon chehron ka aaina
bezar ho gaya hun tamashaiyon se main
-
Share this
- See Ghazal
bastī bastī parbat parbat vahshat kī hai dhuup 'ziyā'
chāroñ jānib vīrānī hai dil kā ik vīrāna kyā
basti basti parbat parbat wahshat ki hai dhup 'ziya'
chaaron jaanib virani hai dil ka ek virana kya
-
Share this
- See Ghazal
mujh ko mire vajūd se koī nikāl de
tañg aa chukā huuñ roz ke in hādsoñ se maiñ
mujh ko mere wajud se koi nikal de
tang aa chuka hun roz ke in hadson se main
-
Share this
- See Ghazal
is qadar pur-ḳhulūs lahja hai
us se milnā hai umr bhar jaise
is qadar pur-KHulus lahja hai
us se milna hai umr bhar jaise
-
Share this
- See Ghazal