jalti bujhti si rahguzar jaise
jaltī bujhtī sī rahguzar jaise
zindagī duur kā safar jaise
is qadar pur-ḳhulūs lahja hai
us se milnā hai umr bhar jaise
is mohalle meñ ik javāñ laḌkī
biich aḳhbār meñ ḳhabar jaise
ek mānūs sī sadā gūñjī
duur yādoñ kā ik nagar jaise
jalti bujhti si rahguzar jaise
zindagi dur ka safar jaise
is qadar pur-KHulus lahja hai
us se milna hai umr bhar jaise
is mohalle mein ek jawan laDki
bich aKHbar mein KHabar jaise
ek manus si sada gunji
dur yaadon ka ek nagar jaise
- Book : shahr-e-sanam (Pg. 20)
- Author : ahmad ziyaa
- Publication : zahid bashiir printer lahore (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.