mahsus kar raha hun tujhe KHushbuon se main
mahsūs kar rahā huuñ tujhe ḳhushbuoñ se maiñ
āvāz de rahā huuñ baḌe fāsloñ se maiñ
mujh ko mire vajūd se koī nikāl de
tañg aa chukā huuñ roz ke in hādsoñ se maiñ
ye aur baat tujh ko nahīñ pā sakā magar
aayā tire qarīb ka.ī rāstoñ se maiñ
tai ho sakegā mujh se na ye zaat kā safar
mānūs ho na pā.ūñgā tanhā.iyoñ se maiñ
hai merā chehra saikaḌoñ chehroñ kā ā.īna
bezār ho gayā huuñ tamāshā.iyoñ se maiñ
mahsus kar raha hun tujhe KHushbuon se main
aawaz de raha hun baDe faslon se main
mujh ko mere wajud se koi nikal de
tang aa chuka hun roz ke in hadson se main
ye aur baat tujh ko nahin pa saka magar
aaya tere qarib kai raston se main
tai ho sakega mujh se na ye zat ka safar
manus ho na paunga tanhaiyon se main
hai mera chehra saikaDon chehron ka aaina
bezar ho gaya hun tamashaiyon se main
- Book : Hawa Ki Tahreer (Pg. 41)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.