Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Rekhta

Rekhta is one of the

old names of the Urdu language. Literally, it stands for blending or amalgamation. Since Urdu, as a language, came into being as a result of the blending of many languages, it was called Rekhta. Here you have some shers where this language has been known with its old name--Rekhta.

reḳhte ke tumhīñ ustād nahīñ ho 'ġhālib'

kahte haiñ agle zamāne meñ koī 'mīr' bhī thā

reKHte ke tumhin ustad nahin ho 'ghaalib'

kahte hain agle zamane mein koi 'mir' bhi tha

Mirza Ghalib

guftugū reḳhte meñ ham se na kar

ye hamārī zabān hai pyāre

guftugu reKHte mein hum se na kar

ye hamari zaban hai pyare

Meer Taqi Meer

paḌhte phireñge galiyoñ meñ in reḳhtoñ ko log

muddat raheñgī yaad ye bāteñ hamāriyāñ

paDhte phirenge galiyon mein in reKHton ko log

muddat rahengi yaad ye baaten hamariyan

Meer Taqi Meer

ab na 'ġhālib' se shikāyat hai na shikva 'mīr'

ban gayā maiñ bhī nishāna reḳhta ke tiir

ab na 'ghaalib' se shikayat hai na shikwa 'mir' ka

ban gaya main bhi nishana reKHta ke tir ka

Mohammad Alvi

jo ye kahe ki reḳhta kyūñke ho rashk-e-fārsī

gufta-e-'ġhālib' ek baar paḌh ke use sunā ki yuuñ

jo ye kahe ki reKHta kyunke ho rashk-e-farsi

gufta-e-'ghaalib' ek bar paDh ke use suna ki yun

Mirza Ghalib

yaar ke aage paḌhā ye reḳhta kar 'nazīr'

sun ke bolā vāh-vāh achchhā kahā achchhā kahā

yar ke aage paDha ye reKHta ja kar 'nazir'

sun ke bola wah-wah achchha kaha achchha kaha

Nazeer Akbarabadi

paḌe chup ho ke jab shahr-e-ḳhamoshāñ meñ 'nazīr'

ye ġhazal ye reḳhta ye sher-ḳhvānī phir kahāñ

ja paDe chup ho ke jab shahr-e-KHamoshan mein 'nazir'

ye ghazal ye reKHta ye sher-KHwani phir kahan

Nazeer Akbarabadi

reḳhta-goī buniyād 'valī' ne Daalī

ba.ad-azāñ ḳhalq ko 'mirzā' se hai aur 'mīr' se faiz

reKHta-goi ki buniyaad 'wali' ne Dali

baad-azan KHalq ko 'mirza' se hai aur 'mir' se faiz

Mushafi Ghulam Hamdani

'qā.em' jo kaheñ haiñ fārsī yaar

is se to ye reḳhta hai behtar

'qaem' jo kahen hain farsi yar

is se to ye reKHta hai behtar

Qayem Chaandpuri

kyā reḳhta kam hai 'mus.hafī'

aatī hai is meñ fārsī

kya reKHta kam hai 'mushafi' ka

bu aati hai is mein farsi ki

Mushafi Ghulam Hamdani

ye nazm-e-ā.īñ ye tarz-e-bandish suḳhanvarī hai fusūñ-garī hai

ki reḳhta meñ bhī tere 'shiblī' maza hai tarz-e-'alī-hazīñ'

ye nazm-e-ain ye tarz-e-bandish suKHanwari hai fusun-gari hai

ki reKHta mein bhi tere 'shibli' maza hai tarz-e-'ali-hazin' ka

Shibli Nomani

muue ne muñh khaa.ī phir bhī ye zor zorī

ye reḳhtī hai bhaa.ī tum reḳhta to jaano

mue ne munh ki khai phir bhi ye zor zori

ye reKHti hai bhai tum reKHta to jaano

Shamim Qasmi

ai 'mus.hafī' ustād-e-fan-e-reḳhta-goī

tujh koī aalam ko maiñ chhānā nahīñ miltā

ai 'mushafi' ustad-e-fan-e-reKHta-goi

tujh sa koi aalam ko main chhana nahin milta

Mushafi Ghulam Hamdani

āñkheñ na churā 'mus.hafī'-e-reḳhta-go se

ik umr se terā hai sanā-ḳhvān idhar dekh

aankhen na chura 'mushafi'-e-reKHta-go se

ek umr se tera hai sana-KHwan idhar dekh

Mushafi Ghulam Hamdani

qaa.em maiñ ġhazal taur kiyā reḳhta varna

ik baat lachar ba-zabān-e-dakanī thī

qaem main ghazal taur kiya reKHta warna

ek baat lachar si ba-zaban-e-dakani thi

Qayem Chaandpuri

reḳhta ke qasr buniyād uThā.ī ai 'nasīr'

kaam hai mulk-e-suḳhan meñ sāhib-e-maqdūr

reKHta ke qasr ki buniyaad uThai ai 'nasir'

kaam hai mulk-e-suKHan mein sahib-e-maqdur ka

Shah Naseer

'qā.em' maiñ reḳhta ko diyā ḳhil.at-e-qubūl

varna ye pesh-e-ahl-e-hunar kyā kamāl thā

'qaem' main reKHta ko diya KHilat-e-qubul

warna ye pesh-e-ahl-e-hunar kya kamal tha

Qayem Chaandpuri

kyuuñ na aa kar us ke sunñe ko kareñ sab yaar bhiiḌ

'ābrū' ye reḳhta niiñ kahā hai dhuum

kyun na aa kar us ke sunne ko karen sab yar bhiD

'abru' ye reKHta tu nin kaha hai dhum ka

Abroo Shah Mubarak

'mus.hafī' garche ye sab kahte haiñ ham se behtar

apnī par reḳhta-goī zabāñ aur hai

'mushafi' garche ye sab kahte hain hum se behtar

apni par reKHta-goi ki zaban aur hi hai

Mushafi Ghulam Hamdani

pech de de lafz o ma.anī ko banāte haiñ kulaft

aur vo phir us pe rakhte haiñ gumān-e-reḳhta

pech de de lafz o mani ko banate hain kulaft

aur wo phir us pe rakhte hain guman-e-reKHta

Mushafi Ghulam Hamdani

jab se ma.anī-bañdī charchā huā ai 'mus.hafī'

ḳhalte meñ jaatā rahā husn-e-zabān-e-reḳhta

jab se mani-bandi ka charcha hua ai 'mushafi'

KHalte mein jata raha husn-e-zaban-e-reKHta

Mushafi Ghulam Hamdani

tab.a kah aur ġhazal, hai ye 'nazīrī' javāb

reḳhta ye jo paḌhā qābil-e-iz.hār na thā

taba kah aur ghazal, hai ye 'naziri' ka jawab

reKHta ye jo paDha qabil-e-izhaar na tha

Jurat Qalandar Bakhsh

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now