Sher on Raaz
Mysteries make life
meaningful. They become all the more interesting when mysteries concern lovers and beloveds. Many poets have played upon the idea of secret, secret keeping, and its repercussions once revealed. Let us look at some of the verses that play upon the idea of secrecy.
dafn kar saktā huuñ siine meñ tumhāre raaz ko
aur tum chāho to afsāna banā saktā huuñ maiñ
dafn kar sakta hun sine mein tumhaare raaz ko
aur tum chaho to afsana bana sakta hun main
ye mere ishq kī majbūriyāñ ma.āz-allāh
tumhārā raaz tumhīñ se chhupā rahā huuñ maiñ
ye mere ishq ki majburiyan maaz-allah
tumhaara raaz tumhin se chhupa raha hun main
-
Tags : Ishqand 2 more
jin ko apnī ḳhabar nahīñ ab tak
vo mire dil kā raaz kyā jāneñ
jin ko apni KHabar nahin ab tak
wo mere dil ka raaz kya jaanen
-
Tag : Dil
koī samjhegā kyā rāz-e-gulshan
jab tak uljhe na kāñToñ se dāman
koi samjhega kya raaz-e-gulshan
jab tak uljhe na kanTon se daman
-
Tags : Famous shayariand 2 more
har sadā par lage haiñ kaan yahāñ
dil sambhāle raho zabāñ kī tarah
har sada par lage hain kan yahan
dil sambhaale raho zaban ki tarah
terā har raaz chhupā.e hue baiThā hai koī
ḳhud ko dīvāna banā.e hue baiThā hai koī
tera har raaz chhupae hue baiTha hai koi
KHud ko diwana banae hue baiTha hai koi
dāman ashkoñ se tar kareñ kyūñ-kar
raaz ko mushtahar kareñ kyūñ-kar
daman ashkon se tar karen kyun-kar
raaz ko mushtahar karen kyun-kar
koī kis tarah rāz-e-ulfat chhupā.e
nigāheñ milīñ aur qadam Dagmagā.e
koi kis tarah raaz-e-ulfat chhupae
nigahen milin aur qadam Dagmagae
ġhairoñ pe khul na jaa.e kahīñ raaz dekhnā
merī taraf bhī ġhamza-e-ġhammāz dekhnā
ghairon pe khul na jae kahin raaz dekhna
meri taraf bhi ghamza-e-ghammaz dekhna
un se sab haal daġhābāz kahe dete haiñ
mere hamrāz mirā raaz kahe dete haiñ
un se sab haal daghabaz kahe dete hain
mere hamraaz mera raaz kahe dete hain
apnā hī haal tak na khulā mujh ko ta-ba-marg
maiñ kaun huuñ kahāñ se chalā thā kahāñ gayā
apna hi haal tak na khula mujh ko ta-ba-marg
main kaun hun kahan se chala tha kahan gaya
haa.e vo rāz-e-ġham ki jo ab tak
tere dil meñ mirī nigāh meñ hai
hae wo raaz-e-gham ki jo ab tak
tere dil mein meri nigah mein hai
-
Tags : Diland 2 more
maiñ mohabbat na chhupā.ūñ tū adāvat na chhupā
na yahī raaz meñ ab hai na vahī raaz meñ hai
main mohabbat na chhupaun tu adawat na chhupa
na yahi raaz mein ab hai na wahi raaz mein hai
ba-pās-e-dil jise apne laboñ se bhī chhupāyā thā
mirā vo raaz tere hijr ne pahuñchā diyā sab tak
ba-pas-e-dil jise apne labon se bhi chhupaya tha
mera wo raaz tere hijr ne pahuncha diya sab tak
zabān o dahan se jo khulte nahīñ haiñ
vo khul jaate haiñ raaz aksar nazar se
zaban o dahan se jo khulte nahin hain
wo khul jate hain raaz aksar nazar se