dil ke āñgan meñ ubhartā hai tirā aks-e-jamīl
chāñdnī raat meñ ho raat kī raanī jaise
dil ke aangan mein ubharta hai tera aks-e-jamil
chandni raat mein ho raat ki rani jaise
ab unheñ tashrīf laanā chāhiye
raat meñ likhtī hai raanī raat kī
ab unhen tashrif lana chahiye
raat mein likhti hai rani raat ki
āñgan meñ ye raat kī raanī sāñpoñ kā ghar kaaT ise
kamra albatta suunā hai kone meñ guldān lagā
aangan mein ye raat ki rani sanpon ka ghar kaT ise
kamra albatta suna hai kone mein guldan laga
bād-e-shām aa.e mahak uTThe mirā sahn riyāz
be-mahak jhāḌiyoñ se raat kī raanī nikle
baad-e-sham aae mahak uTThe mera sahn riyaz
be-mahak jhaDiyon se raat ki rani nikle