Sher on Mausam
Weather is one of the
stock themes of poetry. But weather is more than the condition of a season. Poetry represents these aspects with reference to human beings and their destiny. As such, weather is both a friend and an enemy depending on what condition we are in. Some examples of this complex condition may be seen in these verses.
tumhāre shahr kā mausam baḌā suhānā lage
maiñ ek shaam churā luuñ agar burā na lage
tumhaare shahr ka mausam baDa suhana lage
main ek sham chura lun agar bura na lage
-
Tags : Ishqand 4 more
jo un ma.asūm āñkhoñ ne diye the
vo dhoke aaj tak maiñ khā rahā huuñ
jo un masum aankhon ne diye the
wo dhoke aaj tak main kha raha hun
-
Tags : Dhokaand 1 more
duur tak chhā.e the bādal aur kahīñ saaya na thā
is tarah barsāt kā mausam kabhī aayā na thā
dur tak chhae the baadal aur kahin saya na tha
is tarah barsat ka mausam kabhi aaya na tha
-
Tag : Barish
sardī meñ din sard milā
har mausam bedard milā
sardi mein din sard mila
har mausam bedard mila
-
Tag : Sardi
mere paas se uTh kar vo us kā jaanā
saarī kaifiyyat hai guzarte mausam sī
mere pas se uTh kar wo us ka jaana
sari kaifiyyat hai guzarte mausam si
jaisā muuD ho vaisā manzar hotā hai
mausam to insān ke andar hotā hai
jaisa muD ho waisa manzar hota hai
mausam to insan ke andar hota hai
bikhrī zulfoñ ne sikhā.ī mausamoñ ko shā.irī
jhuktī āñkhoñ ne batāyā mai-kashī kyā chiiz hai
bikhri zulfon ne sikhai mausamon ko shairi
jhukti aankhon ne bataya mai-kashi kya chiz hai
baiThe baiThe pheñk diyā hai ātish-dān meñ kyā kyā kuchh
mausam itnā sard nahīñ thā jitnī aag jalā lī hai
baiThe baiThe phenk diya hai aatish-dan mein kya kya kuchh
mausam itna sard nahin tha jitni aag jala li hai
-
Tag : Sardi
aatī jaatī hai jā-ba-jā badlī
sāqiyā jald aa havā badlī
aati jati hai ja-ba-ja badli
saqiya jald aa hawa badli
vo log mere bahut pyaar karne vaale the
guzar ga.e haiñ jo mausam guzarne vaale the
wo log mere bahut pyar karne wale the
guzar gae hain jo mausam guzarne wale the
mausam ne khet-khet ugaa.ī hai fasl-e-zard
sarsoñ ke khet haiñ ke jo piile nahīñ rahe
mausam ne khet-khet ugai hai fasl-e-zard
sarson ke khet hain ke jo pile nahin rahe
bahut se ġham december meñ december ke nahīñ the
use bhī june kā ġham thā magar royā december meñ
bahut se gham december mein december ke nahin the
use bhi june ka gham tha magar roya december mein