Sher on Kashmakash
It is difficult sometimes
to arrive at a desired point as there are forces that pull us apart and deter us from arriving. This state of dilemma is a state of test for us. It calls for a resolution. This is spread over all preoccupations of our lives—personal, social, political, even religious which tear us apart between the states of belief and disbelief. These verses would help you appreciate the various conditions of dilemma that life is filled with.
irāde bāñdhtā huuñ sochtā huuñ toḌ detā huuñ
kahīñ aisā na ho jaa.e kahīñ aisā na ho jaa.e
irade bandhta hun sochta hun toD deta hun
kahin aisa na ho jae kahin aisa na ho jae
ishq bhī ho hijāb meñ husn bhī ho hijāb meñ
yā to ḳhud āshkār ho yā mujhe āshkār kar
ishq bhi ho hijab mein husn bhi ho hijab mein
ya to KHud aashkar ho ya mujhe aashkar kar
-
Tags : Husnand 2 more
mujhe bhī lamha-e-hijrat ne kar diyā taqsīm
nigāh ghar kī taraf hai qadam safar kī taraf
mujhe bhi lamha-e-hijrat ne kar diya taqsim
nigah ghar ki taraf hai qadam safar ki taraf
īmāñ mujhe roke hai jo khīñche hai mujhe kufr
ka.aba mire pīchhe hai kalīsā mire aage
faith restrains me while I am tugged at by heresy
behind me stands the mosque, the church in front of me
iman mujhe roke hai jo khinche hai mujhe kufr
kaba mere pichhe hai kalisa mere aage
faith restrains me while I am tugged at by heresy
behind me stands the mosque, the church in front of me
savāl kartī ka.ī āñkheñ muntazir haiñ yahāñ
javāb aaj bhī ham soch kar nahīñ aa.e
sawal karti kai aankhen muntazir hain yahan
jawab aaj bhi hum soch kar nahin aae
zabt kartā huuñ to ghuTtā hai qafas meñ mirā dam
aah kartā huuñ to sayyād ḳhafā hotā hai
zabt karta hun to ghuTta hai qafas mein mera dam
aah karta hun to sayyaad KHafa hota hai
-
Tag : Aah
sar meñ saudā bhī nahīñ dil meñ tamannā bhī nahīñ
lekin is tark-e-mohabbat kā bharosā bhī nahīñ
sar mein sauda bhi nahin dil mein tamanna bhi nahin
lekin is tark-e-mohabbat ka bharosa bhi nahin
ye kis azaab meñ chhoḌā hai tū ne is dil ko
sukūn yaad meñ terī na bhūlne meñ qarār
ye kis azab mein chhoDa hai tu ne is dil ko
sukun yaad mein teri na bhulne mein qarar
shauq kahtā hai pahuñch jā.ūñ maiñ ab kaabe meñ jald
raah meñ but-ḳhāna paḌtā hai ilāhī kyā karūñ
shauq kahta hai pahunch jaun main ab kabe mein jald
rah mein but-KHana paDta hai ilahi kya karun
-
Tag : Dair-o-Haram
hai ajab sī kashmakash dil meñ 'asar'
kis ko bhūleñ kis ko rakkheñ yaad ham
hai ajab si kashmakash dil mein 'asar'
kis ko bhulen kis ko rakkhen yaad hum
idhar se taqāzā udhar se taġhāful
ajab khīñchā-tānī meñ paiġhām-bar hai
idhar se taqaza udhar se taghaful
ajab khincha-tani mein paigham-bar hai
phaḌkūñ to sar phaTe hai na phaḌkūñ to jī ghaTe
tañg is qadar diyā mujhe sayyād ne qafas
phaDkun to sar phaTe hai na phaDkun to ji ghaTe
tang is qadar diya mujhe sayyaad ne qafas