Sher on Ijazat
Granting or receiving
permission to do a thing imparts a pleasant feeling to us as human beings. This is all the more significant in the case of lovers who seek or grant permission for things pleasant. This act of human favour finds expression in Urdu poetry in most creative ways. Here are some examples for you to read and enjoy.
tumhārā hijr manā luuñ agar ijāzat ho
maiñ dil kisī se lagā luuñ agar ijāzat ho
tumhaara hijr mana lun agar ijazat ho
main dil kisi se laga lun agar ijazat ho
-
Tag : Hijr
tumhārī yaad meñ jiine kī aarzū hai abhī
kuchh apnā haal sambhālūñ agar ijāzat ho
tumhaari yaad mein jine ki aarzu hai abhi
kuchh apna haal sambhaalun agar ijazat ho
-
Tags : Aarzooand 1 more
ijāzat ho to maiñ tasdīq kar luuñ terī zulfoñ se
sunā hai zindagī ik ḳhūb-sūrat daam hai saaqī
ijazat ho to main tasdiq kar lun teri zulfon se
suna hai zindagi ek KHub-surat dam hai saqi
maiñ chāhtā huuñ ki tum hī mujhe ijāzat do
tumhārī tarah se koī gale lagā.e mujhe
main chahta hun ki tum hi mujhe ijazat do
tumhaari tarah se koi gale lagae mujhe
-
Tags : Ishqand 1 more
sham-e-ḳhema koī zanjīr nahīñ ham-safarāñ
jis ko jaanā hai chalā jaa.e ijāzat kaisī
sham-e-KHema koi zanjir nahin ham-safaran
jis ko jaana hai chala jae ijazat kaisi
baat karne kī shab-e-vasl ijāzat de do
mujh ko dam bhar ke liye ġhair kī qismat de do
baat karne ki shab-e-wasl ijazat de do
mujh ko dam bhar ke liye ghair ki qismat de do
saare jazboñ ke bāñdh TuuT ga.e
us ne bas ye kahā ijāzat hai
sare jazbon ke bandh TuT gae
us ne bas ye kaha ijazat hai