Sher on Garmi
Summer is a season known
for oppressive heat and keeping us troubled and impatient. This season, or condition, has had a metaphoric meaning as well. These samples tell us how it can create different responses and how poets may negotiate with this.
garmī lagī to ḳhud se alag ho ke so ga.e
sardī lagī to ḳhud ko dobāra pahan liyā
garmi lagi to KHud se alag ho ke so gae
sardi lagi to KHud ko dobara pahan liya
-
Tag : Sardi
dopahar kī dhuup meñ mere bulāne ke liye
vo tirā koThe pe nañge paañv aanā yaad hai
dopahar ki dhup mein mere bulane ke liye
wo tera koThe pe nange panw aana yaad hai
-
Tag : Dhoop
shahr kyā dekheñ ki har manzar meñ jaale paḌ ga.e
aisī garmī hai ki piile phuul kaale paḌ ga.e
shahr kya dekhen ki har manzar mein jale paD gae
aisi garmi hai ki pile phul kale paD gae
ye sub.h kī safediyāñ ye dopahar kī zardiyāñ
ab ā.īne meñ dekhtā huuñ maiñ kahāñ chalā gayā
ye subh ki safediyan ye dopahar ki zardiyan
ab aaine mein dekhta hun main kahan chala gaya
-
Tag : Aaina
ye dhuup to har ruḳh se pareshān karegī
kyuuñ DhūñD rahe ho kisī dīvār kā saaya
ye dhup to har ruKH se pareshan karegi
kyun DhunD rahe ho kisi diwar ka saya
shadīd garmī meñ kaise nikle vo phūl-chehra
so apne raste meñ dhuup dīvār ho rahī hai
shadid garmi mein kaise nikle wo phul-chehra
so apne raste mein dhup diwar ho rahi hai
phir vahī lambī do-pahreñ-surma.ī haiñ phir vahī dil kī hālat hai
bāhar kitnā sannāTā hai andar kitnī vahshat hai
phir wahi lambi do-pahren-surmai hain phir wahi dil ki haalat hai
bahar kitna sannaTa hai andar kitni wahshat hai
-
Tags : Dil-lagiand 1 more
aate hī jo tum mere gale lag ga.e vallāh
us vaqt to is garmī ne sab maat kī garmī
aate hi jo tum mere gale lag gae wallah
us waqt to is garmi ne sab mat ki garmi
paḌ jaa.eñ mire jism pe laakh aable 'akbar'
paḌh kar jo koī phūñk de april may june
paD jaen mere jism pe lakh aable 'akbar'
paDh kar jo koi phunk de april may june
garmī se muztarib thā zamāna zamīn par
bhun jaatā thā jo girtā thā daanā zamīn par
garmi se muztarib tha zamana zamin par
bhun jata tha jo girta tha dana zamin par
sūraj sar pe aa pahuñchā
garmī hai yā roz-e-jazā
suraj sar pe aa pahuncha
garmi hai ya roz-e-jaza
band āñkheñ karūñ aur ḳhvāb tumhāre dekhūñ
taptī garmī meñ bhī vaadī ke nazāre dekhūñ
band aankhen karun aur KHwab tumhaare dekhun
tapti garmi mein bhi wadi ke nazare dekhun
saarā din tapte sūraj kī garmī meñ jalte rahe
ThanDī ThanDī havā phir chalī so raho so raho
sara din tapte suraj ki garmi mein jalte rahe
ThanDi ThanDi hawa phir chali so raho so raho
-
Tag : Dhoop
tū june kī garmī se na ghabrā ki jahāñ meñ
ye lū to hamesha na rahī hai na rahegī
tu june ki garmi se na ghabra ki jahan mein
ye lu to hamesha na rahi hai na rahegi
garmī bahut hai aaj khulā rakh makān ko
us kī galī se raat ko purvā.ī aa.egī
garmi bahut hai aaj khula rakh makan ko
us ki gali se raat ko purwai aaegi
dhuup kī garmī se īñTeñ pak ga.iiñ phal pak ga.e
ik hamārā jism thā aḳhtar jo kachchā rah gayā
dhup ki garmi se inTen pak gain phal pak gae
ek hamara jism tha aKHtar jo kachcha rah gaya
garmī ne kuchh aag aur bhī siine meñ lagā.ī
har taur ġharaz aap se milnā hī kam achchhā
garmi ne kuchh aag aur bhi sine mein lagai
har taur gharaz aap se milna hi kam achchha
utāro badan se ye moTe libās
nahīñ dekhtīñ garmiyāñ aa ga.iiñ
utaro badan se ye moTe libas
nahin dekhtin garmiyan aa gain
garmī sī ye garmī hai
maañg rahe haiñ log panāh
garmi si ye garmi hai
mang rahe hain log panah
kyuuñ tirī thoḌī sī garmī siiñ pighal jaave hai jaañ
kyā tū neñ samjhā hai āshiq is qadar hai mom kā
kyun teri thoDi si garmi sin pighal jawe hai jaan
kya tu nen samjha hai aashiq is qadar hai mom ka
garmiyoñ bhar mire kamre meñ paḌā rahtā hai
dekh kar ruḳh mujhe sūraj kā ye ghar lenā thā
garmiyon bhar mere kamre mein paDa rahta hai
dekh kar ruKH mujhe suraj ka ye ghar lena tha
qayāmat meñ baḌī garmī paḌegī hazrat-e-zāhid
yahīñ se bāda-e-gul-rañg meñ dāman ko tar kar lo
qayamat mein baDi garmi paDegi hazrat-e-zahid
yahin se baada-e-gul-rang mein daman ko tar kar lo
ta.alluqāt kī garmī na e'tibār kī dhuup
jhulas rahī hai zamāne ko intishār kī dhuup
talluqat ki garmi na e'tibar ki dhup
jhulas rahi hai zamane ko intishaar ki dhup
pighalte dekh ke sūraj kī garmī
abhī ma.asūm kirneñ ro ga.ī haiñ
pighalte dekh ke suraj ki garmi
abhi masum kirnen ro gai hain
garmī jo aa.ī ghar kā havā-dān khul gayā
sāhil pe jab gayā to har insān khul gayā
garmi jo aai ghar ka hawa-dan khul gaya
sahil pe jab gaya to har insan khul gaya
garmī meñ tere kūcha-nashīnoñ ke vāste
pañkhe haiñ qudsiyoñ ke paroñ ke bahisht meñ
garmi mein tere kucha-nashinon ke waste
pankhe hain qudsiyon ke paron ke bahisht mein
sitam-e-garmī-e-sahrā mujhe ma.alūm na thā
ḳhushk ho jā.egā dariyā mujhe ma.alūm na thā
sitam-e-garmi-e-sahra mujhe malum na tha
KHushk ho jaega dariya mujhe malum na tha