Sher on Bewafai
With great care, the
top picks for wafa shayari have been put together. These are some heart wrenching shayari that will tug at your heart strings as you contemplate the rules of wafa in this world.
kuchh to majbūriyāñ rahī hoñgī
yuuñ koī bevafā nahīñ hotā
she would have had compulsions surely
faithless without cause no one can be
kuchh to majburiyan rahi hongi
yun koi bewafa nahin hota
she would have had compulsions surely
faithless without cause no one can be
-
Tags : Famous shayariand 4 more
tum ne kiyā na yaad kabhī bhuul kar hameñ
ham ne tumhārī yaad meñ sab kuchh bhulā diyā
you did not ever think of me even by mistake
and in your thoughts everything else I did forsake
tum ne kiya na yaad kabhi bhul kar hamein
hum ne tumhaari yaad mein sab kuchh bhula diya
you did not ever think of me even by mistake
and in your thoughts everything else I did forsake
-
Tag : Yaad
ham se koī ta.alluq-e-ḳhātir to hai use
vo yaar bā-vafā na sahī bevafā to hai
hum se koi talluq-e-KHatir to hai use
wo yar ba-wafa na sahi bewafa to hai
-
Tag : Mehboob
ham se kyā ho sakā mohabbat meñ
ḳhair tum ne to bevafā.ī kī
hum se kya ho saka mohabbat mein
KHair tum ne to bewafai ki
-
Tags : Famous shayariand 1 more
ik ajab haal hai ki ab us ko
yaad karnā bhī bevafā.ī hai
ek ajab haal hai ki ab us ko
yaad karna bhi bewafai hai
-
Tag : Yaad
chalā thā zikr zamāne kī bevafā.ī kā
so aa gayā hai tumhārā ḳhayāl vaise hī
chala tha zikr zamane ki bewafai ka
so aa gaya hai tumhaara KHayal waise hi
bevafā.ī pe terī jī hai fidā
qahr hotā jo bā-vafā hotā
I sacrifice my heart upon your infidelity
were you faithful it would be a calamity
bewafai pe teri ji hai fida
qahr hota jo ba-wafa hota
I sacrifice my heart upon your infidelity
were you faithful it would be a calamity
-
Tag : Wafa
is qadar musalsal thiiñ shiddateñ judā.ī kī
aaj pahlī baar us se maiñ ne bevafā.ī kī
is qadar musalsal thin shiddaten judai ki
aaj pahli bar us se main ne bewafai ki
-
Tags : Ghamand 2 more
nahīñ shikva mujhe kuchh bevafā.ī kā tirī hargiz
gilā tab ho agar tū ne kisī se bhī nibhā.ī ho
nahin shikwa mujhe kuchh bewafai ka teri hargiz
gila tab ho agar tu ne kisi se bhi nibhai ho
āshiqī meñ bahut zarūrī hai
bevafā.ī kabhī kabhī karnā
aashiqi mein bahut zaruri hai
bewafai kabhi kabhi karna
ham use yaad bahut ā.eñge
jab use bhī koī Thukrā.egā
hum use yaad bahut aaenge
jab use bhi koi Thukraega
-
Tags : Dhokaand 1 more
dil bhī toḌā to salīqe se na toḌā tum ne
bevafā.ī ke bhī ādāb huā karte haiñ
dil bhi toDa to saliqe se na toDa tum ne
bewafai ke bhi aadab hua karte hain
uḌ ga.ī yuuñ vafā zamāne se
kabhī goyā kisī meñ thī hī nahīñ
uD gai yun wafa zamane se
kabhi goya kisi mein thi hi nahin
-
Tag : Wafa
vafā kī ḳhair manātā huuñ bevafā.ī meñ bhī
maiñ us kī qaid meñ huuñ qaid se rihā.ī meñ bhī
wafa ki KHair manata hun bewafai mein bhi
main us ki qaid mein hun qaid se rihai mein bhi
-
Tag : Wafa
mere alāva use ḳhud se bhī mohabbat hai
aur aisā karne se vo bevafā nahīñ hotī
mere alawa use KHud se bhi mohabbat hai
aur aisa karne se wo bewafa nahin hoti
mere ba.ad vafā kā dhokā aur kisī se mat karnā
gaalī degī duniyā tujh ko sar merā jhuk jā.egā
mere baad wafa ka dhoka aur kisi se mat karna
gali degi duniya tujh ko sar mera jhuk jaega
-
Tags : Dhokaand 1 more
tum kisī ke bhī ho nahīñ sakte
tum ko apnā banā ke dekh liyā
tum kisi ke bhi ho nahin sakte
tum ko apna bana ke dekh liya
kaam aa sakīñ na apnī vafā.eñ to kyā kareñ
us bevafā ko bhuul na jaa.eñ to kyā kareñ
kaam aa sakin na apni wafaen to kya karen
us bewafa ko bhul na jaen to kya karen
-
Tag : Wafa
jo milā us ne bevafā.ī kī
kuchh ajab rañg hai zamāne kā
jo mila us ne bewafai ki
kuchh ajab rang hai zamane ka
ye kyā ki tum ne jafā se bhī haath khīñch liyā
mirī vafāoñ kā kuchh to sila diyā hotā
ye kya ki tum ne jafa se bhi hath khinch liya
meri wafaon ka kuchh to sila diya hota
ham ne to ḳhud ko bhī miTā Daalā
tum ne to sirf bevafā.ī kī
hum ne to KHud ko bhi miTa Dala
tum ne to sirf bewafai ki
jaao bhī kyā karoge mehr-o-vafā
bār-hā aazmā ke dekh liyā
jao bhi kya karoge mehr-o-wafa
bar-ha aazma ke dekh liya
-
Tag : Wafa
gila likhūñ maiñ agar terī bevafā.ī kā
lahū meñ ġharq safīna ho āshnā.ī kā
gila likhun main agar teri bewafai ka
lahu mein gharq safina ho aashnai ka
umiid un se vafā kī to ḳhair kyā kiije
jafā bhī karte nahīñ vo kabhī jafā kī tarah
umid un se wafa ki to KHair kya kije
jafa bhi karte nahin wo kabhi jafa ki tarah
-
Tag : Wafa
vahī to markazī kirdār hai kahānī kā
usī pe ḳhatm hai tāsīr bevafā.ī kī
wahi to markazi kirdar hai kahani ka
usi pe KHatm hai tasir bewafai ki
ab zamāna hai bevafā.ī kā
siikh leñ ham bhī ye hunar shāyad
ab zamana hai bewafai ka
sikh len hum bhi ye hunar shayad
qaa.em hai ab bhī merī vafāoñ kā silsila
ik silsila hai un kī jafāoñ kā silsila
qaem hai ab bhi meri wafaon ka silsila
ek silsila hai un ki jafaon ka silsila
-
Tag : Jafa
tum jafā par bhī to nahīñ qaa.em
ham vafā umr bhar kareñ kyūñ-kar
tum jafa par bhi to nahin qaem
hum wafa umr bhar karen kyun-kar
us bevafā se kar ke vafā mar-miTā 'razā'
ik qissa-e-tavīl kā ye iḳhtisār hai
us bewafa se kar ke wafa mar-miTa 'raza'
ek qissa-e-tawil ka ye iKHtisar hai
-
Tag : Wafa
adhūrī vafāoñ se ummīd rakhnā
hamāre bhī dil kī ajab sādgī hai
adhuri wafaon se ummid rakhna
hamare bhi dil ki ajab sadgi hai
husain-ibn-e-alī karbalā ko jaate haiñ
magar ye log abhī tak gharoñ ke andar haiñ
husain-ibn-e-ali karbala ko jate hain
magar ye log abhi tak gharon ke andar hain
-
Tag : Karbala
be-vafā tum bā-vafā maiñ dekhiye hotā hai kyā
ġhaiz meñ aane ko tum ho mujh ko pyaar aane ko hai
be-wafa tum ba-wafa main dekhiye hota hai kya
ghaiz mein aane ko tum ho mujh ko pyar aane ko hai
-
Tag : Wafa
na mudārāt hamārī na adū se nafrat
na vafā hī tumheñ aa.ī na jafā hī aa.ī
na mudaraat hamari na adu se nafrat
na wafa hi tumhein aai na jafa hi aai
ġhalat-ravī ko tirī maiñ ġhalat samajhtā huuñ
ye bevafā.ī bhī shāmil mirī vafā meñ hai
ghalat-rawi ko teri main ghalat samajhta hun
ye bewafai bhi shamil meri wafa mein hai
-
Tag : Wafa
ye jafāoñ kī sazā hai ki tamāshā.ī hai tū
ye vafāoñ kī sazā hai ki pa.e-dār huuñ maiñ
ye jafaon ki saza hai ki tamashai hai tu
ye wafaon ki saza hai ki pae-dar hun main
-
Tag : Wafa