Sehr Ishqabadi
Ghazal 11
Sher-o-Shayari 8
pahlī sī lazzateñ nahīñ ab dard-e-ishq meñ
kyuuñ dil ko maiñ ne zulm kā ḳhūgar banā diyā
pahli si lazzaten nahin ab dard-e-ishq mein
kyun dil ko main ne zulm ka KHugar bana diya
-
Share this
- See Ghazal
aah kartā huuñ to aatī hai palaT kar ye sadā
āshiqoñ ke vāste bāb-e-asar khultā nahīñ
aah karta hun to aati hai palaT kar ye sada
aashiqon ke waste bab-e-asar khulta nahin
-
Share this
- See Ghazal
vo dard hai ki dard sarāpā banā diyā
maiñ vo marīz huuñ jise iisā bhī chhoḌ de
wo dard hai ki dard sarapa bana diya
main wo mariz hun jise isa bhi chhoD de
-
Share this
- See Ghazal
ek ham haiñ raat bhar karvaT badalte hī kaTī
ek vo haiñ din chaḌhe tak jin kā dar khultā nahīñ
ek hum hain raat bhar karwaT badalte hi kaTi
ek wo hain din chaDhe tak jin ka dar khulta nahin
-
Share this
- See Ghazal