meri qismat se qafas ka ya to dar khulta nahin
merī qismat se qafas kā yā to dar khultā nahīñ
dar jo khultā hai to band-e-bāl-o-par khultā nahīñ
aah kartā huuñ to aatī hai palaT kar ye sadā
āshiqoñ ke vāste bāb-e-asar khultā nahīñ
ek ham haiñ raat bhar karvaT badalte hī kaTī
ek vo haiñ din chaḌhe tak jin kā dar khultā nahīñ
rafta rafta hī naqāb uTThegī rū-e-husn se
vo to vo hai ek dam koī bashar khultā nahīñ
meri qismat se qafas ka ya to dar khulta nahin
dar jo khulta hai to band-e-baal-o-par khulta nahin
aah karta hun to aati hai palaT kar ye sada
aashiqon ke waste bab-e-asar khulta nahin
ek hum hain raat bhar karwaT badalte hi kaTi
ek wo hain din chaDhe tak jin ka dar khulta nahin
rafta rafta hi naqab uTThegi ru-e-husn se
wo to wo hai ek dam koi bashar khulta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.