dawar ne bande bandon ne dawar bana diya
dāvar ne bande bandoñ ne dāvar banā diyā
sāgar ne qatre qatroñ ne sāgar banā diyā
betābiyoñ ne dil kī ba-ummīd-e-sharh-e-shauq
us jāñ-navāz ko bhī sitamgar banā diyā
pahlī sī lazzateñ nahīñ ab dard-e-ishq meñ
kyuuñ dil ko maiñ ne zulm kā ḳhūgar banā diyā
kaifiyat-e-shabāb se māzūr kuchh hue
kuchh āshiqoñ ne bhī unheñ ḳhud-sar banā diyā
'sehr' us nigāh-e-mast pe qurbān kyuuñ na ho
jis ke karam ne zinda qalandar banā diyā
dawar ne bande bandon ne dawar bana diya
sagar ne qatre qatron ne sagar bana diya
betabiyon ne dil ki ba-ummid-e-sharh-e-shauq
us jaan-nawaz ko bhi sitamgar bana diya
pahli si lazzaten nahin ab dard-e-ishq mein
kyun dil ko main ne zulm ka KHugar bana diya
kaifiyat-e-shabab se mazur kuchh hue
kuchh aashiqon ne bhi unhen KHud-sar bana diya
'sehr' us nigah-e-mast pe qurban kyun na ho
jis ke karam ne zinda qalandar bana diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.