Madan Mohan Danish
Ghazal 19
Sher-o-Shayari 10
Image Shayari 2
hai intizaar muqaddar to intizaar karo par apne dil kii fazaa ko bhii KHush-gavaar karo tumhaare piichhe lagii hai.n udaasiyaa.n kab se kisii pa.Daav pe ruk kar inhe.n shikaar karo hamaare KHvaabo.n kaa dar khaTkhaTaatii rahtii hai.n tum apnii yaado.n ko samjhaa.o hoshiyaar karo bhalii lagegii yahii zindagii agar us me.n KHayaal-o-KHvaab kii duniyaa ko bhii shumaar karo bharosa baa'd me.n kar lenaa saarii duniyaa par tum apne aap pe to pahle e’tibaar karo
aadhii aag aur aadhaa paanii ham dono.n jaltii-bujhtii ek kahaanii ham dono.n mandir masjid girja-ghar aur guruu-dvaara lafz ka.ii hai.n ek ma'aanii ham dono.n ruup badal kar naam badal kar aate hai.n faanii ho kar bhii laa-faanii ham dono.n gyaanii dhyaanii chatur siyaanii duniyaa me.n jiite hai.n apnii naadaanii ham dono.n aadhaa aadhaa baa.nT ke jiite rahte hai.n raunaq ho yaa ho viiraanii ham dono.n nazar lage naa apnii jagmag duniyaa ko karte rahte hai.n nigaraanii ham dono.n KHvaabo.n kaa ik nagar basaa lete hai.n roz aur ban jaate hai.n sailaanii ham dono.n tuu saavan kii shoKH ghaTaa me.n pyaasaa ban chal karte hai.n kuchh man-maanii ham dono.n ik-duuje ko roz sunaate hai.n 'daanish' apnii apnii raam-kahaanii ham dono.n